Thursday, May 26, 2016

Sureh Baqra , Kafir Aur Munafiqo Ka Zikr

#Sureh #baqra 2
Kafir aur munafiqo ka zikar
-----------------------------------------------------------------
-Allah talah ayat 6 Se 20 tak kaafir aur munafiqeen k bare me batata hai
-aur jab unse kaha jaye zameen me fasad na karo to kehte hain hum sanwarne wale hain sunta hai wahi fasadi hai magar wahi fasadi hain (sureh baqra ayat 12)
-aur jab iman walo Se mile to kahe hum iman laye aur jab apne shaitano k pass akele ho to kahe hum tumare sath hain hum to yuhi hansi karte hain
(Sureh baqra ayat 14)
-ye ayat abdullah bin abi waghera munafiqeen k haq me nazil hui ek roz unhone sahaba ko aate dekha to ibne abi ne apne yaro Se kaha dekho to mai kaisa banata hu jab WO qareeb pahunche to ibne abi ne hazart abubakr ka hath pakar kar tareef ki phir hazrat umar aur hazrat ali ki tareef ki ..
Hazrat ali ne farmaya ae ibne abi khuda Se dar nafaq na kar baaz aa qke munafiqeen badtareen khalq hain ispar WO kehne laga ye baaten nafaq dar Se nahi ki gayi hum apki tarha momin Sadiq hain jab ye hazrat tashreef legaye to apne yaro me apni chalbazi par faqr karne laga
Allahu Akber ....
Allah Hume munafiqeen Se bachaye ... Aameen

No comments:

Post a Comment