Saturday, May 21, 2016

Shabbe Bara'at From Hadith

💟SHAB-E-BAR'AT

*💐Shab E Bara'at Dua Rad Nahi Hoti Or Imam Safai Ka Fatwa....*

حَدَّثَنَا عَبْدُ الرَّزَّاقِ ، قَالَ : أَخْبَرَنِي مَنْ ، سَمِعَ ابْنَ الْبَيْلَمَانِيِّ ، يُحَدِّثُ عَنْ أَبِيهِ ، عَنِ ابْنِ عُمَرَ بْنِ الْخَطَّابِ ، قَالَ : " خَمْسُ لَيَالٍ لا يُرَدُّ فِيهِنَّ الدُّعَاءُ : لَيْلَةُ الْجُمُعَةِ ، وَأَوَّلُ لَيْلَةٍ مِنْ رَجَبٍ ، وَلَيْلَةُ النِّصْفِ مِنْ شَعْبَانَ ، وَلَيْلَتَا الْعِيد

🌷Hazrat Sayyadna Abdullah Bin Umar
(Radiallahuanhu) Se Riwayat Karte Hai Ke Huzoor ﷺ Ne Irshad Farmaya Ke Panch(5) Raato Mai Dua Rad Nahi Hoti...

✔Rajab Ki Pahli Raat,

✔15 Saban Ki Raat(Shab E Bara'at),

✔Jume Ki Raat...

✔Eid Ul Fitr Aur Eid Ul Adha Ki Raato Mai.

*📙[Musannaf Abdur Razzak Jild.4 Safa.317]*

*📘[Shub Ul Iman Imam Baihaqi Jild.3 Safa.342]*

*📚[Fazail E Aukat Imam Baihaqi Safa.83]*

🌹SubhanALLAH,

🌷Is Riwayat Se Pata Chalta Hai Muqaddas Rato Mai Dua Rad Nahi Hoti Or Shab E Bara'at Bhi Un Muqaddas Raato Mai Se Hai Karne Ke Liye Jag Liya....

*1⃣Hazrat Sayyadna Imam Safai-204hijri(Rahmatullahaleh) Ne Riwayat Kiya Hai Ke:-*

خمس ليال لاترد فيهن الدعاء ليلة الجمعة ، وليلة الأضحى ، وليلة الفطر ، وأول ليلة من رجب ، وليلة النصف من شعبان

🌹"In Panch(5) Raato Mai Ki Jane Wali Koi Dua Rad Nahi Hoti...

✔Shab E Juma'a,

✔Mahe Rajab Ki Pahli Raat,

✔Nisf Saban Ki Raat(Shab E Bara'at),

✔Eid Ul Fitr Aur Eid Ul Adha Ki Do Raate".

*📘[Sunan Al Kubra Imam Baihaqi Jild.3 Safa.315]*

*2⃣Hazrat Imam Safai
(Rahmatullahaleh)Ne Irshad Farmaya...*

قال الشافعي ) : وبلغنا أنه كان يقال : إن الدعاء يستجاب في خمس ليال في ليلة الجمعة ، وليلة الأضحى ، وليلة الفطر ، وأول ليلة من رجب ، وليلة النصف من شعبان

🌷Hame Ye Riwayat Pahunchi Hai Panch(5) Raato Mai Dua E Khusoosi Taur Par Qubool Hoti Hai:-

✔"Jume Raat,

✔Eid Ul Adha Ki Raat,

✔Eid Ul Fitr Ki Raat,

✔Mahe Rajab Ki Pahli Raat

✔Nisf Saban(Shab E Bara'at)Ki Raat.

*📕[Kitab Ul Aam Imam Safai Kitab Us Salat E Eidain Jild.1 Safa.264]*

*📘[Shub Ul Iman Imam Baihaqi Jild.3 Safa.341]*

*📘[Sunan Al Kubra Imam Baihaqi Jild.3 Safa.319]*

*📚[Fazail Owkat Imam Baihaqi Safa.83]*

*📗[Al Talkhees Ul Habeer Allama Ibn E Hajar Kitab Ul Eidain Jild.2 Safa.80]*

*📕[Raudatut Talebeen Wa Umda Tul Muttaqeen Imam Novi Jild.1 Safa.172]*

*📘[Marfat Sunan Wal Aasar Jild.3 Safa.67]*

*📚[Faidh Ul Qadeer Shrah Jame Us Sageer Imam Manawi Jild.6 Safa.38]*

*📚[Lataif Ul Mua'arif Imam Ibn E Rajab Safa.264]*

*3⃣Muqaddas Raato Ka Zikr Karke Jinme Shab E Bara'at Bhi Samil Hai) Imam Safai
(Rahmatullahaleh)Ne Farmaya...*

قال الشافعي ) : وأنا أستحب كل ما حكيت في هذه الليالي من غير أن يكون فرضا

🌷In Raato Mai Amal Karne Ke Bare Mai Jo Kuch Bayan Kiya Gaya Hai Mai Ese Bahut Hi Pasand Karta Hu Albatta In Rato Mai Ibadat Karna Farz Samjhta Hu.

*📕[Kitab Ul Aam Imam Safai Kitab Us Salat E Eidain Jild.1 Safa.264]*

*📚[Fazail E Aukat Imam Baihaqi Safa.83]*

🚫LAMHAYE FIKRIA:-

🌹Imam Safai
(Rahmatullahaleh) Ke Fatwo Se Ye Baat Sabit Hota Hai Ke Imam Safai In Raato Ko Pasnd Karte Or In Raato Mai Ibadat Bhi Karte (Yani Ki Shab Bedari Or Nawafil) Or Imam Safai Doosri Sadi Ke Imam Hai To Pata Chala Hai Ye Jo Ham Sunni Aaj Shab E Bara'at Ke Mauqe Par Karte Hai Ye Doosri Sadi Se Hota Aaraha Hai..

🌷Aur Aaj Kal Kuch Jahil Gair Muqallid Ye Kahte Hai Ke Ye Biddat Hai Or Is Raat Ki Fazilat Mai Aane Wali Riwayat Zaeef Or Mouzu Hai MazALLAH To Kya Ye Imam Safai Se Jaisa Usool E Hadees Ka Imam Wa JaleelulQadr Mohaddish Ko Pata Nahi Thi Ke Is Raat Ki Fazilat Mai Aane Wali Ahadees Zaeef O Mauzu Hai MazALLAH Kya Ye Imam Safai Se Bade Mohaddish Ho Gaye...

🌹Aur Ager Riwayat Ko Zaeef Bhi Mana Jaye Waise To Isnad Se Hasan Darje Par Hai To Imam Safai Ke Amal Se Ye Baat Wajeh Hoti Ke Zaeef Hadees Bhi Hadees E Rasool[Ise Tark Nahi Kiya Ja Sakta Hai Or Ha In Par Amal Kiya Ja Sakta Hai] Or Ager Shab  Bara'at Ki Fazilat Mai Aane Wali Riwayat Mouzu Hoti To Imam Safai Hargiz Ye Fatwe Na Dete.....
🌷Shab E Bara'at Ke Raat Ibadaat Karna, Nawafil Padhna,Wa Shab Bedari Ye Ummat Ka Tasalsul Raha Hai..

No comments:

Post a Comment