Noori mehfil pay chadar tanni noor ki,
Noor phela huwa aaj ki raat hai.
Chandni mein hain dubay huwey do jahan,
Kon jalwa numa aaj ki raat hai.
Farsh per dhoom hai, arsh per dhoom hai
Badnasibi hai uski jo mehroom hai,
Phir milay gi yeh shab kisko maloom hai
Aam lutfay Khuda aaj ki raat hai.
Abray rehmat hai mehfil pay chaye huwey
Aasman say malaik hain aaye huey
Khud Muhammed hain tashreef laye huwey
Kis kadar jaan fiza aaj ki raat hai.
Manglo Mang lo chashme tar mang lo
Dard e dil aur husn e nazar manglo
Kamli wale ki nagri mein ghar manglo
Mangnay ka maza aaj ki raat hai.
Momino aaj ganj e sakha lutlo
Lutlo aie marizo shifa lootlo
Asiyo rehmat e Mustafa lootlo
Babay rehmat khula aaj ki raat hai.
Khoob honay do ashkoon ki barsat ko
Do salami Muhammed ki barat ko
Choom lo chum lo aaj ki raat ko
Shab qadar kay guman aaj ki raat hai.
Waqt laye Khuda sabh Madinay chalein
Lutnay rehmatoon kay khazinay chalein
Sabh ki manzil ki janib safinay chalein
Meri sa’aim dua aaj ki raat hai.
No comments:
Post a Comment