HAZRAT SAYYEDNA SHAH GULAM MUHYUDDIN AMIR AALAM SAHAB MAREHARVI RAHEMATULLAH ALEH
(Urs :- 5, Shabanul Moazzam, Mazar :- Marehra Sharif, U.P.)
❄ HAZRAT SAYYEDNA SHAH GULAM MUHYUDDIN AMIR AALAM SAHAB MAREHARVI radiyallahu anhu. Aap HAZRAT SAYYEDNA SHAH SUTHRE MIYA SAHAB radiyallahu anhu ke Chhote Shehzade he. Aapki Viladate Baa Sa’adat Marehra Muqaddasa me hui.
❄ Jis Waqt Aapki Viladat hui, Aapki bahen jo chhoti hone ki vajah se HAZRAT ACHHE MIYA SAHAB ko bahot Aziz thi, dodi hui unki Khidmat me pahonchi. HAZRAT ACHHE MIYA SAHAB us waqt Khalvat khane me tashrif rakhte the, ye Sahabzadi ja kar Sina e Mubaraka par beth gai aur arz kiya ke “Hamare Bhaiyya Hua he”
❄ Hazrat ye Khabar sunkar doulat khane par tashrif le gae, Sayyedaaniyo ne us bachhe ko Hazrat ko dikhaya aur arz kiya ke “Aaj ek Faqir tumhare ghar me aur zyada hua”. Hazrat ne uske jawab me irshad farmaya ke “Ye to Bada AMIR he” (Hazrat ke is farmaan ka kya Asar hua wo Aage aane wali Post me padhiyega)
📗(Barkate Marehra)
🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸
“GULAM MUHYUDDIN AMIR AALAM” Radiyallahu Anhu naam rakhne ki vajah:~
❄ HAZRAT SAYYEDNA ACHHE MIYA SAHAB radiyallahu anhu ne Aapka Naam “GULAM MUHYUDDIN AMIR AALAM” rakha aur Huqm diya ke is bache ko jo chiz batore Davaa di jaae wo Pilane se Pehle mere samne laai jaae. Chunanche aisa hi kiya jata tha. Aap usko pehle chakh lete the phir Pilaane ke waste huqm hota tha.
❄ Phir jab gizaa khan eke qabil ho gae to ACHHE MIYA SAHAB radiyallahu anhu ne Apna ye mamool kiya ke jo chiz khud tanaavul farmate wo tanaavul farmane se pehle unko chakha dete. Ye mamool Hazrat ka taa hayaat raha. Sayyedaaniyo ne iska sabab puchha to irshad farmaya ke “is bache ko SAYYEDNA SARKAR GOUS E PAAK radiyallahu anhu se khas Nisbat he, isi vajah se me aisa karta hu aur isi sabab se mene iska Naam GULAM MUHYUDDIN rakha he”
❄ HAZRAT ACHHE MIYA SAHAB radiyallahu anhu ko Aapke sath khaas Mohabbat thi. Baarha Hazrat ne aapko Apne kaandho par chadhaya, Apni Chhaati par sulaya, Jab Hoshiyar hue to Khandane Barkatiya ke makhsoos tariqo par chalna sikhaya aur taalime zahiri ke baad talime Batini farmai. Tamam Avraad o Ashgaal va Asraare Khandani sikha kar Apne Silsila e Bait me dakhil farmaya.
❄ Uske Alawa HAZRAT SAYYEDNA SUTHRE MIYA SAHAB radiyallahu anhu ne bhi Aapki Zahiri va Batini Talim o Tarbiyat farmai. Fanne Taksir sikhaya, tamam maqamate Suluk tay karae. Ilm e Jafar ki talim bhi di. Mulaqate Rohaniyat me Aapka Shohra khas tha.
📘(Barkate Marehra)
🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸
Ghulam Mohiuddin Ka Khazane Ghaib
☄☄
❄ HAZRAT SAYYEDNA ACHHE MIYA radiyallahu anhu ne jo (Aapko) “AMIR AALAM” farmaya tha uska ye Asar hua ke tamam Umr Aapke Akhraajat Amiraana rahe aur vafaat sharif ke waqt tak Shaahana Zindagi basar ki. MUNSHI ASGAR ALI Hazrat ke Bavarchi khane ke mohtamim the, wo bayan karte the ke…
❄ Hazrat Shuru Hafte me mujhse daryaaft karte the ke “kaho aane wale Hafte ke liye kis qadr kharch ki zaroorat hogi?” me zyada se zyada raqam bata deta tha ke is qadr ki zarurat he. Dusre din baad Namaze Fajr Hazrat mujhko huqm dete the ke “ASGAR ALI ! Musalle ke niche Ashrafiya rakhi he wo le lo” me jab dekhta tha to apne kharch ke Muvafiq Murshidabadi Ashrafiya rakhi pata tha.
❄ Garz ke har hafte yahi mamool rehta tha. HAZRAT AMIR AALAM radiyallahu anhu Shajrae Zar ke bade Aamil the jo ek Nihayat musir khandani Amal he aur Hazrat ko ACHHE MIYA SAHAB aur SUTHRE MIYA SAHAB radiyallahu anhuma ne taalim farmaya tha, uski Barkat aur HAZRAT ACHHE MIYA SAHAB ki Dua se HAZRAT AMIR AALAM radiyallahu anhu ko Khazana e Gaib se ye Doulat pahonchti thi.
📘(Barkate Marehra)
🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸
No comments:
Post a Comment