Sunday, May 15, 2016

Imame Azam Abu Hanifa Rehmatullah Aleh

Imame Azam Abu Hanifa Rehamtullah Aleh

(Urs :- 2, Shabanul Moazzam, Mazar :- Baghdaad Sharif, Iraq)

🎆 IMAMUL AIMMA SIRAJUL UMMAH IMAMUL MUSLIMIN HAZRAT SAYYEDNA IMAM E AAZAM ABU HANIFA radiyallahu anhu. Aapka Mubarak Naam ‘NOMAN bin SABIT’ Aur Aapki Kunniyat ‘ABU HANIFA’ He. (radiyallahu anhu) Aap Ilm e Shariat Ke Mehro Maah Ban Kar Aasman e Tariqat Par Roshan Hue. Aap Na Sirf Roomuz e Haqiqat Se Aagah The Balke Barik Se Barik Masail Bhi Hal Kar Dene Me Dastras Rakhte The.

🎆 Aapne Kai Sahaba e Kiram Ridvanullahi Alayhim Ajmain Se Faize Sohbat Paaya Aur Unki Ziyarat Ka Sharf Hasil Kiya Aur HAZRAT SAYYEDNA KHWAJA IBRAHIM ibne ADHAM, HAZRAT SAYYEDNA FUZAIL, HAZRAT SAYYEDNA BISHAR HAAFI radiyallahu anhum ajmain Vagera Jesi Hastiya Aapke Shagirdo Me Shamil He.

➡ AAPKI IBADAT :- Aap Har Raat 300 rakat Nafl Namaz Padhte The, Ek Din Raaste Me Kisi Aurat Ne Dusri Aurat Ko Ishare Se Bataya Imam Sahab Har Raat 500 Nafl Namaz Padhte He Aapne Unki Baat Sunli To Usi Raat Se 500 Nafl Padhna Shuru Kar Diya. Phir Ek Din Kisine Keh Diya Ke Ye Ek Raat Me 1000 Nafl Adaa Karte He To Usi Raat se Aapne 1000 Nafl Padhna Shuru Kar Diya.

🎆 Aapke Shagird Ne Arz Kiya Ke “Huzur ! Log Ye Samajhte He Ke Aap Puri Raat Bedaar Rehte He” to Aapne Farmaya “Aaj se Yakinan Puri Raat Bedaar Rahunga” Aur Vajah Puchhne Par Aapne Farmaya Ke Allah Ta’ala Ka Irshad He Ke “Bande Apni Us Taarif Ko Pasand Karte He Jo Unme Nahi He” Aur Me Us Zumre Me Shamil Nahi Hona Chahta. Aapne Mukammal 20 Saal Tak Isha Ke Vuzu Se Fajr Ki Namaz Padhi Aur Lambe Sajdo Ki Vajah Se Aapke Ghutno Me Oont (Camel) Jese Gadhdhe Pad Gaye The.

🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸

SAYYEDNA IMAM E AAZAM radiyallahu anhu KE MAZARE PAAK Ke Barakat

🎆 HAZRAT ALLAMA IBNE HAJAR MAKKI rehmatullah alayh Apni Kitab “Al Khairatul Hisan Fi Manaqibun Nouman” Me Likhte He Ke Janna Chahiye Ke Ulma Aur Digar Hajatmand Hazraat Aapke Mazar Sharif Ki Musalsal Ziyarat Karte Rehte He Aur Aapke Paas Aakar Apni Hajato Ke Liye Aapko Vasila Banate He Aur Usme Kamiyabi Paate He.

🎆 Unme HAZRAT SAYYEDNA IMAM SHAFAI radiyallahu anhu Bhi He.Jab IMAM SHAFAI radiyallahu anhu Bagdaad Sharif Me The To Farmate He Ke “HAZRAT IMAM ABU HANIFA radiyallahu anhu Ke Mazar e Paak Se Tabarruk Hasil Karta Hu Aur Jab Koi Hajat Pesh Aati He To Do Rakaat Padh Kar Unki Qabr e Anwar Ke Paas Aata Hu Aur Dua Karta Hu To Hajat Jald Puri Ho Jati He.

🌹 SUBHANALLAH…….Jab HAZRAT SAYYEDNA IMAM SHAFAI Radiyallahu Anhu Jese Bade Imam Allah Ke Vali Ka Vasila Jaiz Samjhe Bhi Aur Amal Bhi Kare Aur Unke Mazar Se Faiz Hasil Kare To Sunni Musalman Kyu Nahi Kar Sakta…Kuchh Log Mazar Par Jane Se Rokte He Unko Me Yahi Kehna Chahunga Ke Baat Tumhare Jaane Ki Nahi He Unke Bulane Ki He. Jaate vahi He Jinko Allah Ke Vali Bulate He, Tumko Bulate Hi Nahi To Jaaoge Kese???

⚜”MERI TALAB BHI TUMHARE KARAM KA SADQA HE
QADAM YE UTHTE NAHI HE UTHAE JAATE HE”⚜

🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹

HANFIYO KE LIYE BASHARAT :-

🎆 HAZRAT SAYYEDNA IMAM E AAZAM ABU HANIFA radiyallahu anhu Ne Apni Zindagi e Paak Me 55 Hajj Adaa Kiye. Jab Aapne Aakhri Baar Hajj Ki Sa’adat Haasil Ki To Kaaba Sharif Ke Khadimo Ne Aapki Khwaish Par Kaaba Sharif Ka Darwaza Khol Diya. Aap Bade Adab Ke Sath Andar Dakhil Hue Aur Kaaba Sharif Ke Do Sutuno (Pillers) Ke Darmiyan Khade Hokar Do Rakaat Me Pura Quran Sharif Khatm Kiya.

🎆 Phir Der Tak Ro Ro Kar Munajat Karte Rahe, Aap Dua Me Mashgool The Ke Khana e Kaaba Ke Ek Kone Se Aawaz Aai Ke “Tumne Achhi Tarah Hamari Maarefat (Pehchan) Hasil Ki Aur Khulus Ke Sath Khidmat Ki, Hamne Tumko Bakhsha Aur Qayamat Tak Jo Tumhare Mazhab Par Hoga (Yaani Taqlid Karega) Usko Bhi Bakhsh Diya.”………….

🌹🌹🌹SUBHANALLAH

📗(Durre Mukhtar Bahavala Ashko Ki Barsaat)

🌹 ALHAMDULILLAH……Hum Kis Qadr Khush Nasib He Ke HAZRAT SAYYEDNA IMAM E AAZAM radiyallahu anhu Ka Daaman e Karam Hamare Hatho Me Aaya. Allah Hame Gair Mukallido Se Bachaae Aur Aakhri Dam Tak ‘MASLAK E IMAM E AAZAM’ Jise Aaj Ham ‘MASLAK E AALA HAZRAT’ Ke Naam Se Yaad Karte He Usi Par Qayam Rakhe.

🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸

Usmane Ghani Ke Dushman Ko Imam Abu Hanifa ne Rah Dikahi

🎆 HAZRAT SAYYEDNA IMAM E AAZAM ABU HANIFA radiyallahu anhu ke Zamane me ek Shakhs AMIRUL MOMININ HAZRAT SAYYEDNA USMAN E GANI radiyallahu anhu se Badi Dushmani rakhta tha, Hatta ke HAZRAT USMAN E GANI radiyallahu anhu ko Yahoodi kehta tha (Ma’az Allah).

🎆 IMAM E AAZAM radiyallahu anhu ko Jab is Baat ka Ilm hua to Aapne use Bulaya aur us se Farmaya ke “Mene Tumhari Ladki ke Liye ek Munasib Rishta Talash kiya he, Ladke me har qism ki Khubi Moujud he lekin sirf Itni si Baat he ke wo Ladka Yahoodi he”

🎆 Jab us Shakhs ne ye Suna to usne Jawab diya ke “Bade Afsos ki Baat he ke Aap Itne Bade Imam he aur ek Musalman Ladki ka Nikah ek Yahoodi ke Sath Jaiz samajhte he? Me to Hargiz is Nikah ko Jaiz nahi Samajhta”

🎆 HAZRAT IMAM E AAZAM radiyallahu anhu ne Farmaya “SubhanALLAH ! Tumhare Jaaiz na Samajhne se kya hota he? Jab ke Khud HUZUR sallallahu alayhi va sallam ne Apni Do Betiyo ka Nikah ek Yahoodi se karva diya tha”

🎆 wo Shakhs foran Samajh gaya ke IMAM E AAZAM radiyallahu anhu kis Baat ki Hidayat farma rahe he? Chunanche usi Waqt usne HAZRAT USMAN E GANI radiyallahu anhu ki Zaate Paak ke Muta’alliq Baatil Khayal se Touba ki aur SAYYEDNA IMAM E AAZAM radiyallahu anhu ki Barkato se Maalamal ho gaya.

📗(Sachi Hiqayat)

🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸

IMAM E AAZAM radiyallahu anhu AUR GUMSHUDA KHAZANA :-

🎆 HAZRAT SAYYEDNA IMAM E AAZAM ABU HANIFA radiyallahu anhu ke Zamane me ek Shakhs Apna kuchh Maal Zamin me Dafn karke Bhul gaya. Ab wo IMAM E AAZAM radiyallahu anhu ki Khidmat me Hazir hua aur waqia Arz kiya.

🎆 SAYYEDNA IMAM E AAZAM radiyallahu anhu ne farmaya ke “Jaao, Aaj tum Saari Raat Namaz padhte raho, tumhe Yaad aa Jaega ke tumne Maal kaha Dabaya tha.” Chunanche wo Shakhs Gaya aur Raat ko Usne Namaz padhna Shuru ki. Abhi Chand Rakaat hi Padhi thi ke use Yaad Aa gaya ke Usne Maal kaha Dabaya he.

🎆 wo Shakhs bada Khush hua aur Subah IMAM E AAZAM radiyallahu anhu ki Khidmat me Hazir ho kar kehne laga ke “Huzur ! Aapne Tadbir kese Irshad farmai” IMAM E AAZAM radiyallahu anhu ne Irshad farmaya ke “Mujhe Maloom tha ke Shaitan tujhe Raat bhar Namaz nahi padhne dega aur tujhe tera Maal Yaad dila dega” Taaki tu Namaz Chhod de. Afsos ke Tune Maal Milne ke Shukriye me Raat bhar Namaz kyu na padhi?

🎆 Insan Mushkill ke Waqt khuda ko Yaad karne wala ban jata he magar Mushkil Tal jane ke Baad phir wahi Be Dhangi chaal Ikhtiyar kar leta he aur ye Baat badi Afsos Naak he, Aisa nahi hona Chahiye.

📗(Sachi Hiqayat)

🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸

IMAM E AAZAM radiyallahu anhu ki NIGAHE PAAK KI SHAAN :

🎆 Ek Martaba Chand Ladke Gend (Ball) se khel rahe the. Ittefaq se ek Baar unki Gend HAZRAT SAYYEDNA IMAM E AAZAM ABU HANIFA radiyallahu anhu ke Majme me Unke Saamne Aakar giri. Kisi Ladke ki Himmat na Padi ke waha se Gend Utha Laae.

🎆 Un Ladko me se ek Ladke ne kaha ke “Agar tum log kaho to Gend me Utha Laau” Phir Intehaai Gustakhi ke sath gaya aur wo Gend ja kar Utha liya.

🎆 HAZRAT IMAM E AAZAM radiyalahu anhu ne farmaya ke “Maloom hota he ke ye Ladka Halaali nahi he” Logo ne Jab Pata lagaya to Waqai wo Ladka Aisa hi Nikla Jesa ke IMAM E AAZAM radiyallahu anhu ne Farmaya tha.

🎆 Logo ne Puchha “Huzur ! Aapne ye kese Jaan liya ke wo Ladka Halaali nahi he” Aapne farmaya ke “Agar wo ladka Halaali hota to Usme Haya (Sharm) hoti”

📗(Sachi Hiqayat)

📌 Buzurgo Ka Adab Unki Taazim aur Unse Haya rakhna Nek Bakhti aur Sharafat ki Nishani he aur Unki Bargah me Be Adabi aur Gustakhi Bad Bakhti ki Alamat he.

🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹

SARKAR sallallahu alayhi va sallam KI BARGAH ME Imame Azam ki MAQBOOLIYAT :-

🎆 SHAIKH BU ALI bin USMAN bayan karte he ke me ek martaba HAZRAT SAYYEDNA BILAL E HABSHI radiyallahu anhu ki Qabr Sharif ke nazdiq soya hua tha to mene Khwab me dekha ke ....

🎆 Me MAKKA MOAZZAMA me hu aur HUZUR sallallahu alayhi va sallam Baabe Bani Shayba se ek Muammar Shakhs ko Aagoshe Mubarak me liye hue tashrif laae aur mujhe Hairat zada dekh kar farmaya ke....

🎆 "YE MUSLAMNO KE IMAM AUR TUMHARE MULK KA BASHINDA (REHNE WALA) ABU HANIFA radiyallahu anhu HE"

📗(Tazkiratul Aulia)

🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸

IMAME AZAM ABU HANIFA KA MUQAM

🎆 NOUFIL bin HIBAAN bayan karte he ke HAZRAT SAYYEDNA IMAM E AAZAM ABU HANIFA radiyallahu anhu ke Visaal Sharif ke Baad mene khwab me dekha ke Qayamat qaaim he aur Log Hisab o Kitab me Mashgool he aur Houze Kousar par HUZUR E AKRAM sallallahu alayhi va sallam tashrif farma he.

🎆 Aur Aapke Atraaf me bahot se Buzurg khade he aur IMAM E AAZAM ABU HANIFA radiyallahu anhu Logo se keh rahe he ke "HUZUR ki Ijazat ke bagair kisi ko Paani nahi de sakta"

🎆 Phir HUZUR sallallahu alayhi va sallam ne farmaya ke "Isko Paani de do" Chunanche IMAM SAHAB ne mujhko ek Gilaas paani de diya aur Sairaab ho kar pine ke Bavajood bhi Paani me zara si bhi kami nahi aai.

🎆 Phir mene IMAM E AAZAM radiyallahu anhu se tamam Buzurgo ke Naam daryaft kiye to Aapne farmaya ke "Daae Janib HAZRAT SAYYEDNA IBRAHIM KHALILULLAH Alayhissalam he aur baae Janib HAZRAT SAYYEDNA ABU BAKR SIDDIQ radiyallahu anhu he, is tarah Aapne satrah Afraad ke naam bataae jinko me Ungliyo ke poro par shumaar karta raha aur Bedaari ke baad Ungliyo ke satrah pore band hue the."

 📗(Tazkiratul Aulia)

🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸

IMAM E AAZAM radiyallahu anhu PAR HAZRAT SAYYEDNA IMAM MOHAMMAD BAQIR radiyallahu anhu KA FAIZAN :

🎆 AHLE BAYT KE CHASHM O CHARAAG HAZRAT SAYYEDNA IMAM MOHAMMAD BAQIR radiyallahu anhu ki Khidmate Aqdas me jab IMAM E AAZAM ABU HANIFA radiyallahu anhu ne Hazri di aur chand Masaail par sair hasil Taqrir farmai to HAZRAT IMAM MOHAMMAD BAQIR radiyallahu anhu is qadr Khush hue ke Joshe Masarrat me uth kar Aapki Peshani chum li.

🎆 Phir ek Muddat tak Aap IMAM MOHAMMAD BAQIR radiyallahu anhu ki Khidmat me hazir rahe aur fiqah aur Hadis ke mutalliq bahot si Naadir maalumaat hasil ki. Chunanche Shia va Sunni dono Moarrikhin ne isko maana aur IMAM ABU HANIFA radiyallahu anhu ki Maloomat ka bahot bada zakhira IMAM MOHAMMAD BAQIR radiyallahu anhu ka Faize Sohbat tha.

📗(Aulia e Rijaalul Hadis)

🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸

Hazrat Imam Abu Hanifa Ki Aqalmandi

🎆 HAZRAT SAYYEDNA IMAM SHAFAI radiyallahu anhu farmate he "IMAM E AAZAM ABU HANIFA radiyallahu anhu se Zaaid (zyada) Aqlmand kisi Aur ne nahi Jana"

📗(Khayratul Hisaan)

🎆 JALILUL QADR MOHADDIS HAZRAT ALI bin AASIM farmaya karte the ke "agar IMAM E AAZAM ABU HANIFA radiyallahu anhu ki Aql Rooe Zamin ke Aadhe Aadmiyo ki Aql se toli jaae to IMAM E AAZAM radiyallahu anhu ki Aql ka Palla bhari rahega".

🎆 isi tarah KHARJAH bin MUS'AB ka qaul he ke "mene ek Hazaar Ulama ka Didaar kiya magar unme se tin ya char hi ko bahot bada Aaqil paya. unme se ek ABU HANIFA radiyallahu anhu he".

🎆 MOHAMMAD bin ABDULLAH ANSARI MASH'HOOR MOHADDIS ne farmaya ke "IMAM ABU HANIFA ki Aql, unke Kalaam, unke irade aur unki Naqlo Harkat se zahir hoti thi"

📗(Aulia e Rijaalul Hadis)

🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸

GAIR MUQALLIDIN KE IMAM ABU HANIFA PAR  AITRAAZ KA JAWAB :~

🎆 Gair Muqallidin (Naam Nihaad Ahle Hadis) ka ye Propeganda he ke HAZRAT SAYYEDNA IMAM E AAZAM ABU HANIFA radiyallahu anhu ko sirf satrah (17) Hadise yaad thi, ye ek aisa mardood qaul he ke Ahle Ilm to Ahle Ilm Gairatmand Juhhaal bhi isko zaban par laate hue sharm mehsus karenge.

🎆 Sochne ki baat he ke wo IMAM ABU HANIFA jinko Sahaba ki ziyarat va Shagirdi ka Sharf hasil hua aur chaar hazaar (4000) aise aise Jalilul Qadr Mohaddisin ke Halqae Dars me shamil hue jo Fanne Hadis me Behre na Paida kanaar the.

🎆 Wo IMAM ABU HANIFA jinhone Hadis ki talab me bis (20) martaba se zyada Basra ka safar kiya aur aksar Saal Saal bhar Basra me muqim reh kar Ilme Hadis padha.

🎆 Wo IMAM ABU HANIFA jinhone pachpan (55) Hajj adaa kar ke Mumaalike Islamiya ke goshe goshe se aane wale Mohaddisin se istefada kiya.

🎆 Wo IMAM ABU HANIFA jonhone chhe (6) baras MAKKA MUKARRAMA me qayaam karke Ilme Hadis ki Tehsil ki.

🎆 Wo IMAM ABU HANIFA jinki Nigaahe Intekhab ne Apni Tasnif "KItaabul Aasar" ko Chaalis Hazar (40,000) Hadiso ke majmooe me se chun kar murattab farmaya.

🎆 wo IMAM ABU HANIFA JInke Shagird IMAM ABU YUSUF ko Be Shumaar Ahaadise sahiha ke alawa hazaro mozu'a Hadise bhi Yaad thi.

🎆 wo IMAM ABU HANIFA jinke Shagird IMAM MOHAMMAD ke Dars me itna kasir majmaa hota tha ke Kufaa ki sadke bhar jati thi.

🎆 Wo IMAM ABU HANIFA jinke Shagird ALI bin AASIM ki Darsgaah me rozana tis hazar (30,000) Talba Sharike Dars hote the.

🎆 wo IMAM ABU HANIFA jinke Shagird ibne HARUN ke Dars me sattar hazar (70,000) Saamein (sunne wale) Hazir rehte the.

🎆 LILLAH INSAF KARE ! kya in Taarikhi Shavaahid ki moujudgi me bhi koi Saahibe Aql ye keh sakta he ke IMAM E AAZAZM ABU HANIFA radiyallahu anhu ko sirf satrah Hadise yaad thi??? MA'AAZ ALLAH

📗(Aulia e Rijaalul Hadis)

🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸
IMAME AZAM KI IBADAT

🎆 Aap bahot hi Kasirul Ibadat va Sahibe Karamat bhi the. Aapne chaalis (40) saal tak Isha ke Vuzu se Fajar ki Namaz Adaa farmai. ABDULLAH bin MUBARAK radiyallahu anhu ka qaul he ke "Aap chalis (40) baras tak Paancho Namaze ek hi Vuzu se Adaa farmate rahe"

🎆 Garmiyo me Zohar va Asar ke Darmiyan sote aur uth kar Taaza Vuzu farmate to usi Vuzu se Asar, Magrib, Isha, Fajar va Zohar Adaa farma lete.

🎆 Raat bhar Qayamul Lail ki vajah se log Aapko Khoonti kaha karte the. Raat ko khoufe Ilahi se is qadar Rote the ke Aapke Padosiyo ko Aapke Haal par rahem aane lagta tha.

🎆 Jail khane ki jis kothri me Aapki Vafaat hui usme Aapne saat Hazaar (7000) Khatm Qurane Majid padha tha.

 📗(Aulia e Rijaalul Hadis)

🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸

IMAM E AAZAM radiyallahu anhu KA KHOUFE QAYAMAT :-

🎆 Ek baar HAZRAT SAYYEDNA IMAM E AAZAM ABU HANIFA radiyallahu anhu ka Be Khabari me ek Ladke ke Paau par Paau pad gaya. Ladke ne kaha : "Ae SHAIKH ! Qayamat ke din ke badle se nahi darte?" HAZRAT IMAM E AAZAM radiyallahu anhu ne ye suna to Aap par Gashi taari ho gai.

🎆 Jab Ifaaqa hua to farmaya : "Mera ye khayal he ke ye Kalmaa use Talqeen hua he"

📗(Javahirul Bayaan)

📌 SABAQ :- HAZRAT IMAM E AAZAM radiyallahu anhu Bavajood itne bade Imam aur Muttaqi hone ke Qayamat ke badle se darte he. Phir kis qadr Gaflat he ham logo ki ke Sar ta Paa Gunahgaar hone ke bavajood Qayamat ke din ka hame koi Aehsaas hi nahi aur IMAM SAHAB se Be Khabari ke Aalam me ek ladke ka paau kuchla gaya to Aap Behosh ho gae magar ham jaan bujh kar bhi senkdo zulm karte he magar kuchh parvah nahi karte.

🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹

HAZRAT IMAM E AAZAM radiyallahu anhu KA KAMAALE TAQVA :-

🎆 HAZRAT SAYYEDNA IMAM E AAZAM ABU HANIFA radiyallahu anhu ek Janaza padhne tashrif le gae. Dhup ki badi Shidaat thi aur waha koi saaya na tha. Sath hi ek Shakhs ka Makaan tha, Us Makaan ki Diwaar ka saaya dekh kar logo ne HAZRAT IMAM E AAZAM radiyallahu anhu se arz kiya : "HUZUR ! Aap is saaye me khade ho jaaiye"

🎆 HAZRAT ne farmaya ke "is Makaan ka jo maalik he wo Mera Maqrooz (Qarzdaar) he aur agar mene uski Diwaar se kuchh nafa Hasil kiya to me darta hu ke Indallah me kahi Sood lene walo me shumaar na ho jaau. Kyunki SARVAR E AALAM sallallahu alayhi va sallam ne farmaya ke jis Qarz se kuchh nafa liya jaae wo Sood he" Chunanche Aap Dhoop me hi khade rahe.

📗(Tazkiratul Aulia)

🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹

IMAM E AAZAM radiyallahu anhu SARKAR E DO AALAM sallallahu alayhi va sallam KE MAZAR E AQDAS PAR :-

🎆 HAZRAT SAYYEDNA IMAM E AAZAM ABU HANIFA radiyallahu anhu HUZUR SARVAR E AALAM sallallahu alayhi va sallam ki ziyarat ke liye jab MADINA MUNAVVARA pahonche aur ROZA E ANVAR par pahonche to Aapne arz kiya : "ASSALAMU ALAYKA YA SAYYEDIL MURSALIN"

🎆 To ROZA E ANVAR se Jawab aaya : "VA ALAYKUM ASSALAM YA IMAMAL MUSLIMIN"

📗(Tazkiratul Aulia)

📌 SABAQ :- Maloom hua ke HUZUR sallallahu alayhi va sallam HAYATUNNABI he. Gulam ka Salaam sunte he aur Jawab bhi Ataa farmate he aur ye bhi maloom hua ke HAZRAT IMAM E AAZAM radiyallahu anhu Musalmano ke Imam he aur khud SARVAR E AALAM sallallahu alayhi va sallam ne Aapko Musalmano ka Imam farmaya he phir agar koi shakhs HAZRAT IMAM E AAZAM radiyallahu anhu ki Shane wala me koi Be Adabi ka lafz kahe to HUZUR SARVAR E AALAM sallallahu alayhi va sallam kyu na us se naraz honge.

📗(Sachi Hikaayat)

🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸

IMAME AAZAM radiyallahu anhu KA EK DAHARIYA (NAASTIK) SE MUNAZRA :-


🎆 Hamare IMAM E AAZAM ABU HANIFA radiyallahu anhu ka ek Dahariya, Khuda ki Hasti ke munkir se Munazra Muqarrar hua aur Mouzue Munazra yahi Masla tha ke Aalam ka koi khaliq he ya nahi? is ahem Masle par Munazra aur phir itne bade Imam se, Chunanche maidane Munazra me Dost Dushman sabhi jama ho gae.

🎆 Magar HAZRAT IMAM E AAZAM ABU HANIFA radiyallahu anhu Waqte Muqarrara se bahot der ke baad Majlis me tashrif laae, Dahariye ne puchha : "Aapne itni der kyu lagaai?" Aapne farmaya ke : "me iska ye Jawab ye du ke me ek Jungle ki taraf nikal gaya tha, waha ek Ajib Waqia nazar aaya jisko dekh kar me Hairat me aa kar vahi khada ho gaya"

🎆 "Aur waqia ye tha ke Dariya ke kanare ek darakht tha, dekhte hi dekhte wo darakht khud ba khud kat kar Zamin par gir pada, phir khud uske Takhte tayyar hue phir un takhto ki khud ba khud ek Kashti tayyar hui aur khud ba khud hi Dariya me chali gai aur phir khud ba khud hi Dariya ke is taraf ke Musafiro ko us taraf aur us taraf ke Musafiro ko is taraf laane aur lejane lagi, phir har ek sawari se khud hi kiraaya bhi vasool karti thi.....
to batao tum meri is baat par yaqin karoge?"

🎆 Dahariya ne ye sun kar ek Qahqaha lagaya aur kaha : "Aap jesa Buzurg aur Imam aisa Jhoot bole to Ta'ajjub he, bhala ye Kaam kahi khud ba khud ho sakte he? Jab tak koi karne wala na ho kisi tarah nahi ho sakte". HAZRAT IMAM E AAZAM radiyallahu anhu ne farmaya ke : "Ye to kuchh bhi kaam nahi he tumhare Nazdiq to is se bhi zyada bade bade Aalishan kaam khud ba khud bager kisi karne wale ke tayyar hote he, Ye Zamin, Ye Aasman, Ye Chand, Ye Suraj, Ye Sitare, Ye Baagaat, Ye Sad'ha qism ke Rangeen phool aur Shiri Phal Ye Pahaad, Ye Choupaae, Ye Insaan aur ye sari Khudaai bager banane wale ke tayyar ho gai he"

🎆 Agar ek Kashti ka bager kisi banane wale ke khud ba khud ban jana Jhoot he to sare Jahaan ka bager banane wale ke ban jana is se bhi zyada Jhoot he. Dahariya Aapki Taqrir sun kar khud ba khud Hairat me aa gaya aur fouran Apne Aqide se taaib ho kar Musalman ho gaya.

📗(Tafsire Kabir Ba Hawala Sachi Hikayaat)

🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸

No comments:

Post a Comment