Friday, May 20, 2016

Hazrat Umme Kulsum ( Shehzadie Rasool Allah Sallelahu Alihi Wa Sallam)

Hazrat Umme Kulsum ( Shehzadie Rasool Allah Sallelahu Alihi Wa Sallam)

(Urs :- 7, Shabanul Moazaam, Mazar :- Jannatul Baqi Sharif, Madina Sharif)

❄ SHEHZADI E RASOOL HAZRAT SAYYEDA UMME KULSUM radiyallahu anha. Aap HUZUR E AQDAS sallallahu alayhi va sallam ke Izhare Nubuvvat farmane se Pehle UTBA ya UTAIBA ibne ABU LAHAB ki Zoujiyat me thi HUZUR sallallahu alayhi va sallam ke Ailane Nubuvvat ke Baad usne Judaai karli.

❄ HUZUR E AQDAS sallallahu alayhi va sallam ne HAZRAT SAYYEDA RUQAIYYA radiyallahu anha ke Visal ke Baad SAYYEDA UMME KULSUM radiyallahu anha ke Hijrat ke Tisre Saal HAZRAT SAYYEDNA USMAN ZUNNURAIN radiyallahu anhu se Nikah karva diya.

❄ Aapka Visal Sharif 9 Hijri ko hua. Aapki Namaze Janaza Khud ALLAH KE PYARE MEHBOOB HUZUR DAANA E GUYUB sallallahu alayhi va sallam ne Padhai.

❄ RASOOLULLAH sallalahu alayhi va sallam ne SAYYEDA UMME KULSUM radiyallahu anha ke Visal Sharif ke Baad HAZRAT USMAN E GANI radiyallahu anhu se farmaya “Agar Mere Pas Tisri Sahabzaadi hoti to me Use bhi Tumhare Nikah me le Aata”

📘(Islami Herat Angez Maloomat)

🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸

No comments:

Post a Comment