Hazrat Husain Sheede Karbala ki Paidaish
(Viladat :- 5, Shabanul Moazaam, Mazar :- Karbala Sharif, Iraq)
🎴 Huzur (sallallahu alayhi va sallam) ke chacha HAZRAT SAYYEDNA ABBAS (radiyallahu anhu) ki zauja mohtarma HAZRAT UMMUL FAZL (radiyallahu anha) Ek din HUZURE AQDAS (sallallahu alayhi va sallam) ki Khidmate Aqdas me haazir huyi aur arz kiya…
🎴 “YA RASULALLAH ! (sallallahu alayhi va sallam) Aaj maine Ek pareshaankun khwaab dekha hai”. HUZUR (sallallahu alayhi va sallam) ne daryaaft farmaya wo khwaab kya hai ? Arz kiya wo bahut hi Dehshatnaak khwaab hai bayaan karne ki jur'at nahi ho rahi hai.
🎴 HUZUR (sallallahu alayhi va sallam) ne mukarrar daryaaft farmaya to arz kiya ke "Maine dekha ke Aapke Jism-E- Paak ka Ek Tukda kaata gaya aur Meri god me rakhaa gaya." Is par HUZUR (sallallahu alayhi va sallam) ne Irshaad farmaya : "InshaALLAH TA'AALA FATIMA ZAHRA (radiyallahu ta'aala anha) ke beta hoga aur wo tumhari god me diya jaayega."
🎴 Chunaanche HAZRAT SAYYEDNA IMAAME HUSAIN (radiyallahu ta'aala anhu) paida huve aur HAZRAT UMMUL FAZL (radiyallahu ta'aala anha) ki god me diye gaye.
📗(Gulzare Shohda)
🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸
No comments:
Post a Comment