☪15wi SHAABAAN (Shab E Baraat)☪
Kuch log Shab e Baraat yaani 15wi Shabaan ko Fazilat wali raat nahi maante aur Is Raat mein Nawaafil aur Din mein Roza rakhne ko bid'at samajhte hai. Ye mehez unki Jahaalat hai.
⚡☪⚡☪⚡☪⚡☪⚡☪⚡
ALHAMDULILLAH Ahle Sunnat wal Jamat Iss Raat ko bohot Ahem aur Fazilat aur Gunahon se Nijaat wali raat maante hai. Aur Ahle Sunnat ka ye Aqeeda Hadees se saabit hai.
✅Alhamdullillah
15wi Shabaan ko Shabe Baraat bhi kaha jata hai kyuki is raat ALLAH bandon ke Gunahon ko kasrat se muaaf farmata hai aur bandon ki magfirat farmata hai.
✅🔰
HADEES:
Sayyidah Hazrat Aisha Siddiqua RadiAllahu Ta'ala Anha farmati hai, Ek raat maine Huzoor E Akram ﷺ ko na paaya to main Aap ﷺ ki talaash mein nikli. Kya dekhti hoon ki Aap ﷺ Jannat Ul Baqi mein hain. Aap RasoolAllah ﷺ ne farmaya kya tum dar huwa ki Allah aur uska Rasool tum par zulm karega? Maine arz kiya , Yaa RasoolAllah ﷺ Maine socha shayad Aap kisi dusri zawja (wife) ke yaha tashreef le gaye. Aap ﷺ ne farmaya, "Allah Ta'ala 15wi SHABAAN KI RAAT KO AASMAAN E DUNIYA PAR (jaisa ki uski shaan ke laayeq hai) UTARTA HAI AUR BANU KALB QABILE KI BAKRIYON KE BAALO SE ZYADA LOGON KO BAKSHTA HAI."
🔵🔰🔵🔰🔵🔰🔵🔰🔵🔰🔵
[¤ Tirmizi Sharif, Abwaab ul Sawm, Jild 1, pg 403, Baab Maaja a fi Lailatin Nisfi min Shabaan, Hadees no 718;
¤ Sunan Ibne Majah, jild 1, Baab Maaja a fi Lailatin Nisfi min Shabaan, pg 398, Hadees no 1447]
🌹🔻🌹🔻🌹🔻🌹🔻🌹🔻🌹
¤ Is Hadees se pata chala ki 15wi Shabaan ki Raat mein ALLAH ka bandon par khaas fazl hota hai. Is liye bandon ko chaahiye ki is raat mein Shab bedaari kare aur ALLAH ka zikr kare aur gaflat ki neend na soye.
Dua Ka Talib ► ◄
No comments:
Post a Comment