Sunday, May 22, 2016

Shabbe Bara'at aur Wahabiyo ki Book

💟SHAB-E-BAR'AT *WAHABIYO* KE GHAR SE.....

*☀SHAB-E-BAR'AT KI QABOOLIYAT IBNE TEMIYA KI ZUBANI....*

🔴Shab E Bara'at Ke Mutallik Gair Muqallido Ke Imam E Awwal Wa Shaikh Ul Islam Ibn E Taimiya Ka Fatwa Wa Tafseeli Moqif....

🔵Hamare Moqif Ka Saboot Gairo Ke Ghar Se...

*🔶Ibn E Taimiya Apna Aqida Bayan Karte Huye Apne Fatwe Mai Likhta Hai:-*

ومما نعتقد ان الله ينزل كل ليلة الى شماء الدنيا فى ثلث الاخير فيبسط يديه و يقول هل من ساعل الحديث وليلة النصف من شعبان و عشية عرفةوذكر الحديث

*🔷"Hamare Aqaid Mai Se Hai Ke Be Shak ALLAH TALA Har Raat Ke Aakhri Tesre Pahr Mai Aasman E Dunia Par Nuzool Farmata Hai Aur Daste Karam Faila Kar Irshad Farmata Hai Ke Hai Koi Sawal Karne Wala Alhadees Aur Nisf Sabaan Ki Shab(Shab E Bara'at) Aur No(9)Zilhijj Ki Raat Aur Fhir Mukammal Hadees Bayan Ki....*

*📚[Al Aqida Tul Hamiya Ibn E Taimiya Safa.55]*

*📔[Majmua Al Fatawa Ibn E Taimiya Jild.5 Safa.77]*

🔶Fir Ibn E Taimiya Se Sab E Bara'at Ki Namaz Ke Bare Mai Pucha Gaya Uske Jawab Mai Likhta Hai:-

إذا صلَّى الإنسان ليلة النصف وحده أو في جماعة خاصة كما كان يفعل طوائف من المسلمين فهو : حَسَنْ ، وأما الاجتماع في المسجد على صلاة مقدرة كالاجتماع على مائه ركعة ، بقراءة ألف ((قل هو الله أحد)) دائماً، فهذه بدعة ،لم يستحبها أحد مِن الأئمة ، والله أعلم

*🔴Nisf Saban Ki Namaz Ke Bare Mai Poocha Gaya....*

↕Jawab:-

🔷Jab Koi Shaksh Nisf Saban Ki Shab(Shab E Bara'at) Mai Tanha Nafil Padhe Ya Makhsoos Jamat Mai Padhe Jaisa Ke Aslaf Ke Giroh Padhte Rahe Hai To Ye Amal Accha Hai Aur Ja'nha Tak Kisi Masjid Mai Muqarrah Namaz Ki Baat Jaisa Ke So(100) Rakat Par Ek Hazar(1000) Martabaقُلْ هُوَ اللَّهُ أَحَدٌ
ٌPar Hamesha Ijtema Karna Hai To Bidat Hai Jis Ko Aimma E Kiram Mai Se Kisi Ne Pasand Nahi Kiya.
WALLAHU AALAM.

*📚[Al-Fatwa Kubra Ibn E Taimiya Jild.2 Safa.262]*

*📚[Majmua Al Fatawa Ibn E Taimiya Jild.23 Safa.131]*

*🔶Fir Ibn E Taimiya Apni Doosri Fatawa Al Kubra Mai Aslaf Ka Amal Wa Shab-E-Bara'at Ki Fazilat Ke Bare Mai Likhta Hai:-*

وأما ليلة النصف من شعبان ففيها فضل وكان ( في )السلف من يصلي فيها

🔵Ja'nha Tak Nisf Saban Ki Shab(Shab E Bara'at) Ki Baat Hai Is Mai Bahut Fazilat Hai Aslaf Shab E Bara'at Mai Namaz Padhte Rahe Hai....

*📚[Al Fatwa Kubra Ibn E Taimiya Jild.5 Safa.342]*

*📚[Ikhtiyarat E Al Ilmiya Safa.42 Makhtoota Matbooa Kurdistan Misr 1329Hijri]*

*🔷Ibn E Taimiya Apni Ek Or Kitab Iqtida Sirat Al Mustaqeem Mai Shab E Bara'at Ke Mutallik Tafseeli Bayan Likhta Hai:-*

هذا الباب ليلة النصف من شعبان فقد روى في فضلها من الأحاديث المرفوعة والآثار ما يقتضي أنها ليلة مفضلة وأن من السلف من كان يخصها بالصلاة فيها وصوم شهر شعبان قد جاءت فيه أحاديث صحيحة ومن العلماء من السلف من أهل المدينة وغيرهم من الخلف من أنكر فضلها وطعن في الأحاديث الواردة فيها كحديث إن الله يغفر فيها لأكثر من عدد شعر غنم بني كلب وقال لا فرق بينها وبين غيرها
لكن الذي عليه كثير من أهل العلم أو أكثرهم من أصحابنا وغيرهم على تفضيلها وعليه يدل نص أحمد لتعدد الأحاديث الواردة فيها وما يصدق ذلك من الآثار السلفية وقد روى بعض فضائلها في المسانيد والسنن وإن كان قد وضع فيها أشياء أخر

🔶"Ye Baab Shaban Ki Nisf Raat Ka,
Shab E Bara'at Ki Fazilat Mai Bahuat Si Marfoo Ahadees Aur Aasaar E Sahaba Bhi Is Baat Ka Taqaza Karte Hai Ke Yaqinan Fazilat Wali Raat Hai Is Raat Ko Jis Ne Bhi Nawafil Aur Mahe Sabaan Ko Roze Ke Sath Khas Kiya To Us Mai Sahih Ahadees Warid Hai Amsar Mai Kuch Logo Ne Aur Un Ke Alawa Khalf Mai Se Bhi Kuch Ne Is Ki Fazilat Ka Inkar Kiya Hai Aur Warid Ki Gai Ahadees Mislan Beshak ALLAH TALA Is Raat Mai Qabila Bani Kalb Ki Bakriyon Ke Balo Se Jyada Logo Ki Magfirat Farma Deta Hai Kaha Hai In Mai Koi Bhi Farq Nahi Hai Lekin Bahut Se Ahle Ilm Ya Hamare Ashab Mai Se Bahut Se Ahle Ilm Is Raat Ki Fazilat Ke Qail Hai Jo Ke Tasdeeq Karti Hai Salaf Ke Asaar Ki Aur Shab Bara'at Ki Fazilat Mai Ahadees Masaneed Aur Sunan Kitabo Mai Mauzood Hai Agar Che Un Mai Kuch Digar Bayanat Bhi Shamil Kar Diye Gaye Hai...

*📚[Iqtida Sirat Al Mustaqeem Safa.631]*

*🔶Isse Milti Julti Ibarat Apne Fatawe Mai Naqal Ki,*

*📚[Majmua Al Fatawa Ibn E Taimiya Jild.23 Safa.132]*

No comments:

Post a Comment