Thursday, May 19, 2016

Forget who hurts you, islam aur anger , dushman ko maaf karna

☆ Dushman Ko Muaf Karna Acche Nafs Ki Zeenat …..
‪#‎Al_Quran‬: Jo Ghusse Ko Pee Jate Hai Aur Doosro’n Ke Kasoor Muaf Kar Dete Hain, Aise Log Allah Ko Bohat Pasand Hain.
– (Surah-Al-Imran 3:134)
‪#‎Hadees‬ : Jo Shakhs Kisi Ko Muaf Kar Deta Hai, Usse Allah Ta’ala Izzat se Sarfaraz Karta Hai.
– (Muslim Sharif)
#Hadees : Wo Shakhs Jannati Hai Jo Raat Ko Soney Se Pehle Sab Ko Mua’af Ker Ke Soye.
#Hadees : Ek Roz Sayyiduna Musaa (Kalimullah Alaihi Salam) Ne Arz Kiya Ke, “Aey Rab! Tere Nazdeek Kaun Sa Banda Zyada Izzat Wala Hai?”
Allah Ta’ala Ne Farmaya – “Wo Jo Badla Lene Ki Kuwwat Ke Ba’wajud (Dushman Ko) Muaf Karde”.
– (Sho’abul Iman, Jild-6, Page No.319, Hadees#8327)
‪#‎Qaul_e_Mubarak‬ : Agar Tum Badla Lena Chahte Ho Tou Aisa Badla Lo Ke, Saamne Wala Zindagi Bhar Yaad Rakhe, Aur Aisa BADLA ! Muaf Kar Dena Hain.
– Hazrat Ali (Razi Allahu Anho)
#Qaul_e_Mubarak : Bhooke Ko Khana Kheelana, Hajat-Ravai Karna, Dushman Ko Muaf Karna Acche Nafs Ki Zeenat Hai.
– Hazrat Khwaja Moin-Ud-Din (Rahmatullah Alayh)
#Qaul_e_Mubarak : Logon Ko Itni Jaldi Muaf Kar Diya Karo Jitni Jaldi Tum Allah Se Muafi Ki Ummid Rakhte Ho.
– Hazrat Umar-e-Farooq (Razi’Allahu Anhu)

heart emoticon In'sha'Allah-Ul-Azeez !!!
Allah Ta'ala hume Kehne Sun'ne Se Jyada Amal Ki Taufk De
Ameen ! Alahumma Ameen

No comments:

Post a Comment