Sunday, May 8, 2016

Allah ke nek bande qabro me zinda hain

🔳Huzoor ﷺ Wisaal Ke Baad Bhi Zinda Hai🔳
✔ Hadees No.7

Hazrate Jaabir رضي الله عنه se marvi hai ke jab Uhad ka maarka darpesh aaya to mere walid ne raat ko mujhe bulaya aur farmaya ki lagta hai ki subah ko jung me shaheed hone wale as'haab  me pehla main hunga aur Huzoor ﷺ ko chhod kar baaqi logo me mere nazdeek sabse zyada mehboob tum ho Mere upar kuch karz hai isko adaa karna aur apni Behno ke sath nek sulooq karna Hazrate Jaabir رضی اللہ عنہ kehte hai ki jab subah jung hui to sabse pehle mere waalid shaheed hue maine unhe ek dusre ke sath qabr me dafn kar diya fir mujhko naa gawar maloom hua ki mere waalid kisi aur ke sath qabr me dafn ho to maine 6 maah ke baad qabr khod kar unhe nikala to wo aise nikle jaise aaj aur abhi-abhi dafn kiye gaye ho bas zara kaan mut'assir tha

📕 Bukhari Jild 1 Safa 180

Is Hadees se ba-khoob  maloom hua ke Hazrate Jaabir رضی اللہ عنہ  ke waalid Abdullah 6 Maah guzarne ke baad bhi qabr me sahi wa saalim taro taza the. Lihaza ye kehna durust hai ki Khuda ke khaas bande Mout ke baad bhi zindah hai

📕 Bukhari Jild 1 safa 178

🌴 Aashiqe Nabi Hu Main Waarise Ali Hu Main
Maila Hona Payega Hashr Tak Kafan Mera 🌴

Ke Main Gulame Khwaja hu Hind  Hai Watan Mera 🌴

No comments:

Post a Comment