*SHOHDA KI QISME*
🏮 HUZUR NABI E KARIM sallallahu alayhi va sallam Irshad farmate he ke jo Log Ladaai me Qatl kiye Jate he unki Tin (3) Qisme he.
1⃣Wo Momin jo Apni Jaan aur Apne Maal se Allah ki Raah me Lade aur Dushman se Khub Muqabla kare yaha tak ke Qatl kar diya Jaae. Ye wo Shahid he jo Sabr aur Mashakkat ke Imtehaan me Kamiyab hua ye Shahid Khuda Ta’ala ke Arsh ke Niche Khuda e Ta’ala ki Rehmat ke Saae me Hoga.
🏮Ambiya e Kiram us se sirf Darja e Nubuvvat me Zyada Honge. Yaani Martaba e Nubuvvat aur Us se jo Kamalat Muta’alliq he Unke Alawa har Martaba aur har Kamaal Shahid ko Hasil hoga.
2⃣Wo Momin jiske Aamal dono Tarah ke ho yaani kuchh Achhe aur Kuchh Bure. Wo Momin Apni Jaan aur Maal se Khuda ki Raah me Jihad kare, Jis waqt Dushaman se Saamna ho Us se Lade yaha tak ke Qatl kar diya jaae.
🏮Ye Aisi Shahadat he jo Gunaho aur Buraaiyo ko Mitane wali he. Phir Farmaya “Beshaq Talvaar Gunaaho ko Bahot Zyada Mitane wali he” aur ye Shahid jis Darvaze se Chahega Jannat me Chala Jaaega.
3⃣Wo ‘Munafiq’ he Jisne Apni Jaano Maal se Jihad kiya aur Jab Dushman se Muqabla hua to Khub lada yaha tak ke Qatl kar Diya gaya. Ye Shakhs Dozakh me Jaaega isliye ke “Nifaaq yaani Chhupe hue Kufr ko Talvaar nahi Mitaati”
📕(Mishkaat Sharif)
🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸
No comments:
Post a Comment