Friday, May 20, 2016

Hazrat Sayed Akmal Hussain urf Baba Maan Shah Rehmatullah Aleh

Hazrat Sayed Akmal Hussain urf Baba Maan Shah Rehmatullah Aleh Ka Ta'aruf

(8, Shabanul Moazzam, Mazar :- Baroda, Gujarat)

🔯 SHAHENSHAH E BARODA HAZRAT SAYYED AKMAL HUSAIN urf BABA MAAN SHAH rehmatullah alayh ka Mazar e Aqdas Gujarat ke Shaher Baroda me ‘Baavamanpura’ me Marja e Khalaiq he.

♊ HAZRAT QASIM rehmatullah alayh Farmate he ke Mene Khwab me HAZRAT SAYYEDNA BISHAR HAAFI rehmatullah alayh ko Dekha aur Puchha ke ‘Allah Ta’ala ne Aapse kya Suluk Farmaya?’ to Aapne Farmaya ke ‘Allah Ta’ala ne Mujh se Farmaya ke ‘Ae BISHAR ! mene Tumhe Bakhsh Diya aur jo Log Tumhare Janaze me Shariq hue Unhe bhi Bakhsh Diya’

♊ HAZRAT BISHAR HAAFI rehmatullah alayh Farmate he ke mene Arz kiya ‘Ilaahi ! Har us Shakhs ko bhi Baksh de Jisko Mujhse Mohabbat he’. Allah Rabbul Izaat ne Farmaya ‘’VA BIKULLI MAN AHABBAK’’ yaani ‘’QAYAMAT TAK KE HAR US SHAKHS KO BHI BAKHSH DIYA JISE TUMSE MOHABBAT HE.

📘(Sachi Hiqayat ba Hawala Sharhus Sudoor)

🌹 Beshaq…Allah ke Valiyo ki Mohabbat Duniya me Qabr me Hashr me Har Jagah Kaam Aati he. Allah ke Valiyo ki Mohabbat ke Sadqe Aadmi Bakhsha Jata he. Isliye Hame In Paak Logo se Mohabbat Rakhni Chahiye. Ham Ahle Sunnat val Jama’at yaani Maslake Aala Hazrat walo ko ‘Ghouso Khwaja Raza aur Tamam Aulia Allah se Mohabbat he. Insha Allah Apna Bedaa Paar he.

🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸

BUZURGO KE MAZAR KE PAAS DAFN HONE KE FAAIDA :-

🔯 SHAHENSHAH E BARODA HAZRAT SAYYED AKMAL HUSAIN urf BABA MAAN SHAH rehmatullah alayh ka Mazar e Aqdas Gujarat ke Shaher Baroda me ‘Baavamanpura’ me Marja e Khalaiq he.

♊ ek Jagah koi Qabr Khul Gai Aur Qabr ka Murda Nazar Aane Laga. Logone Usko Dekha ke Gulab ki do (2) Khubsurat Daaliya Uske Badan se Lipti he Aur Gulab ke Do (2) Bade Khubsurat Phool Uski Naak ke Nathno Par Rakhe hue He.

♊ Uske Rishtedaro ne Is Khayal se ke Iski Qabr Paani ki Vajah se Khul Gai he to Ise Yaha se Kisi Dusri Jagah Dafn Karde. Us Murde ko Jese hi Baahar Nikala to Logone Dekha ke Wo Do Khubsurat Gulab ki Daaliya Do Khatarnak Azdahe (Python) Ban Gai Aur Naak ki Nathno Par jo Do Gulaab ke Phool Rakhe the Uski Jagah Azdahe Apne Muh se Uske Muh ko Pakde Hue he.

♊ Log Bade Heran Hue Aur Kisi Buzurg ke Paas Jaa Kar Is Waqie ko Bayan kiya. Un Buzurg ne Jab Maajra Dekha to Us Murde ke Ahbaab se Farmaya ke “Agar tum Iske sath Bhalai Chahte ho to Isko Vapas Usi Jagah Dafn kardo”

♊ Un Buzurg ki Nasihat Par Amal Karte Hue Jab Us Murde ko Vapas Usi Jagah Qabr me Rakha to Dekha ke wo Khatarnaak Azdahe Vaapas Khubsurat Gulaab ki Daaliya Ban Gai Aur Uski Naak ke Nathno Par Gulab ke Do Phool Aa Gae.

♊ Jab Logone Un Buzurg se Iski Vajah Puchhi to Unhone Farmaya ke “Ye Shakhs Jis par ye Waqia Guzra he ye Bada Gunehgaar tha Aur Usi Azaab ka Mustahiq Tha Jo tum Logone Dekha Lekin Isko Jaha Dafn Kiya Gaya Waha Qarib hi me Ek Allah ke Vali ka Mubarak Mazar Tha to ALLAH KE VALI KE MAZAR KE QURB KE SADQE ISKA AZAB REHMAT ME TABDIL HO GAYA”

📘(Al Malfooz Sharif)

🌹 Dua he Ke Moula e Karim Hame Bhi Apne Mehboob Bando ka Qurb Duniya me Qabr me Hashr me Har Jagah Ataa Farmae Aur Unke Sadqe Hamari Magfirat Farmae..Aamin.

🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹

No comments:

Post a Comment