Wednesday, May 25, 2016

Aulia ki tareer by inne taimiya

Ibne Temiya Ka Aqeeda Awliya Bhi Madadgar Hain

Ibn Taymiya Farmatey Hey : "Bahot se log Aulia unhe samjhte hey jiske haath per khark e aadat cheez ka zuhur ho aur usse kashf ka zuhur ho, yaa usse ba'az khark e aadat tasarrufaat ka zuhur ho, masalan wo kisi ki Taraf ishara karey to wo Mar Jaaye, Yaa wo hawa me Ud Ker Makkah Yaa Kisi Aur Shaher Pahunch Jaaye, Yaa Wo Paani Per Chaley, Yaa Hawa se Lotey Ko Bhar De, Yaa Uske Paas Kuch Nahi Magar Wo Gaib se Kharch Kerta Hey, Yaa Wo Nigaho se Gayab Ho Jaata Hey, Yaa Jab Koi Uski Madad Chahta Hey Aur Wo Uske Paas Nahi Hey, Yaa Fir wo Apni Qabar Me Hey To Wo Qabar Waala Us Madad Mangne Waale Ke Paas Aata Hey Aur Uski Madad Kerta Hey, Yaa Chori Hue Maal Ki Khabar Deta Hey, Yaa Gayab Aadmi ka Haal Batla Deta Hey, Yaa Marz Ke Ahwaal se Aagah Ker Deta Hey" Fir Aagey Farmate Hey Ke "In Jaisi cheezo ka Zuhur Kabhi ALLAH ke Wali Se Hota Hey Aur Kabhi Is Tarah ki cheezo ka zuhur ALLAH ke Dushman Se Bhi Hoti Hey" 

(Majmu Al Fatawa 11/213-214)

Ya'ni Ibn Taymiya Ke Nazdeek Hawa Me Udna, Paani Per Chalna, Qabar se Madad Kerne Aana Wagaira Cheeze ALLAH Ke Wali se Bhi Ho Sakti Hey Aur ALLAH ke Dushman se Bhi. Subhanallah.

Ye Baatey Humare Ulama Likhe to Jahil Aur Munafiq aur Inka Ibn Taymiya Likhe To Wo Shaykh Ul Islam? Kya Quran o Hadees Me In Victorians ne Sirf Ulama e Haq Per Aiteraz Kerna Hi Sikha Hey? Kya Inhone Quran O Hadees se Insaaf Kerna Nahi Sikha?

Scan page Majmu Al Fatawa👇🏻👇🏻

No comments:

Post a Comment