Thursday, June 30, 2016

Tashahhud me ungli hilana kaisa

🚫TASHAHHUD MEIN UNGLI HILANA SUNNAT NAHI 👆❌🚫


🔷UNGLI HILANA SUNNAT NAHI - BAAZ ULEMA E AHLE HADEES WAHABI KE AQWAAL

2⃣ IMAM UL WAHABIYA SHAYKH IBNE ABDUL WAHHAB NAJDI KE NAZDEEK TASHAHHUD MEIN UNGLI HILANA SUNNAT NAHI

Gair Muqallideen Ahle Hadees ke Shaykh ul Islam Shaykh Ibne Abdul Wahhab Najdi ke nazdeek bhi pure tashahhud mein ungli hilana sunnat nahi. Woh bhi yahi kehte hai ki Zikrullah (La- ilaaha ilallah) ke waqt ungli se ishaarah kiya jaaye aur ungli ko na hilaaya jaaye. Woh likhte hai:

👉�"ZIKRULLAH (LA ILAAHA ILALLAH) KE WAQT SABABA UNGLI SE ISHAARA KARE AUR UNGLI KO NA HILAAYE KYUKI HAZRAT IBNE ZUBAIR رضي الله تعالى عنه KI HADITH SE YAHI SABIT HAI."
[● MUKHTASAR AL INSAF WA ASH-SHARH AL KABEER, 1/ 128]

¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤

No comments:

Post a Comment