Paigham saba layi hai yeh Gulzaar e Nabi se
Aaya hai bulawa mujhe Darbar e Nabi se
Har aah gaee arsh peh yeh aah ki qismat
Har ashk peh ik khuld he her ashk ki qimat
Tohfa yeh mila he mujhe Sarkar e Nabi se
Aaya hai bulawa mujhe Darbar e Nab se
Shukar Khuda ke aaj ghadi us safar ki hai
Jis par nisaar jaan falah o zafar ki hai
Garmi hai tap hai dard hai kulfat safar ki hai
Na shukr yeh toh dekh azimat kidhar ki hai
Uske tufail Hajj bhi Khuda ne karadiye
Asle muraad Haazri us paak dar ki hai
Kaabe ka naam tak na liya Taiba hi kaha
Poocha tha hum se jiss ne ki nuhzat kidhar ki hai
Kaalak jabhi ki Sajda e Darr se churaoge
Mujh ko bhi le chalo yeh tamanna hajar kee he
Dooba huwa hai shoq mai zamzam aur ankh se
Jaahle baras rahe hai yeh hasrat kidhar ki hai
Aaghosh e Showk khole he jin ke liye Hateem
Woh phir ke dekhthe nahi ke yeh dhun kidhar ki hai
Ha ha raahe Madina hai gafil zara toh jaag
O pao rakhne waale yeh jaa Chasm o Sar ki hai
Waaru qadam qadam pe ke har dum hai jaan no
Yeh Raah e Jaan Fiza mere Maula ke dar ki hai
Allahu Akbar apne qadam aur yeh Khak e Paak
Hasrat malaaika ko jahan wazhe sar ki hai
Meraj ka sama hai kaha pohnche zahiro
Kursi sai oonchi kursi isi paak ghar ki hai
Sattar hazaar subho hai sattar hazaar shaam
Yuh Bandagi e Zulf o Rukh aatho pahar ki hai
Joh ek baar aye dobara na ayenge
Rukhsat hi bargah se bus is qadar ki hai
Tadpa kare badal ke phir aana kaha naseeb
Be hukm kab majhal parinde ko par ki hai
Maasum ko hai umar mai sirf ek baar baar
Aasi pare rahe to salah umar bhar ki hai
Zinda rahe toh Hazri e Baargah naseeb
Mar jaye toh Hayat e Abad esh ghar ki hai
Kaaba dulhan hai Turbat e Athar nayi dulhan
Yeh Rashk e Aftab woh ghairat qamar ki hai
Uf be hayaiya ke yeh munh aur tere huzur
Ha tu Karim hai teri khoo dar guzar ki hai
Arsh e Bari pe kyu na ho Firdous ka dimaag
Utri huwi shab'ih tere baam o'dar ki hai
Lab wah hai ankhe bandh hai faili hai johliya
Kitne maze ki bheekh tere paak dar ki hai
Maange ge maange jayege munh mangi payenge
Sarkar mai na laa hai na hajat agar ki hai
Mangta ka haath uthte hi daata ki dain hai
Doori Qubul o Arz me bus haath bhar ki hai
Jannah na de na de teri rooyat ho khair se
Iss ghul ke aage kis ho hawas barg o bar ki hai
Sharbat na de na de toh kare baat lutf se
Ye shahad ho toh phir kise parwa shakar ki hai
Aa kuch suna de ishq ke bolo me aye Raza
Mushtaq tab`a lazzat e Soaz e Jigar ki hai
No comments:
Post a Comment