Mujhe Dar pay phir bulana, Madani Madine Wale
Mae ishq bhi pilana, Madani Madine Wale
Meri aankh me samana, Madani Madine Wale
Banay dil Tera thikana, Madani Madine Wale
Teri jab ke deed hogi, jabhi meri eid hogi
Mere Khwaab me Tum ana, Madani Madine Wale
Mujhe sab sata rahe hain, mera dil dukha rahe hain
Tumhi hausla badhana, Madani Madine Wale
Mere sab azeez chootay, mere yaar bhi to roothay
Kaheen Tum na rooth jana, Madani Madine Wale
Mai agar chay hoon kamina, Tera hoon Shahe Madina
Mujhe seenay se lagana, Madani Madine Wale
Tere Dar se Shaha behtar, Tere aastaan say badhkar
Hai bhala koee thikana, Madani Madine Wale
Tera Tujh se hoon sawali, Shaha phairna na khali
Mujhe Apna Tum banana, Madani Madine Wale
Yeh mareez mar raha hai, Tere haath me Shafa hai
Ai Tabeeb jald aana, Madani Madine Wale
Tu hi Anbiya ka Sarwar, Tu hi do jahaan ka Yawar
Tu hi Reh-baray zamana, Madani Madine Wale
Tu hai be-kasaun ka Yawar, Ai mere ghareeb parwar
Hai Sakhi Tera Gharana, Madani Madine Wale
Tu Khuda ke baad behtar, sabhi say mere Sarwar
Tera Haashmi gharana, Madani Madine Wale
Teri farsh par hukumat, Teri Arsh par hukumat
Tu Shahinsha e Zamanah, Madani Madine Wale
Tere Khalq sab say A'ala, Tera Husn Sab say pyara
Fida Tujh pay sab zamanah, Madani Madine Wale
Kahoon kis say aah jakar, sunay kaun mere dil-bar
Mere dard ka fasana, Madani Madine Wale
Ba-A'ata e RABB daem, Tu hi rizq ka hai Qasim
Hai Tera sab aabo-danah, Madani Madine Wale
Mai ghareeb bay-sahara, kahaan aur hai guzara
Mujhe Aap hi nibhana, Madani Madine Wale
Yeh karam bada karam hai, Tere haath me bharam hai
Sar-e-hashr bakhsh-wana, Madani Madine Wale
Kabhi jau ki moti roti, to kabhi khajoor pani
Tera aisa sada khana, Madani Madine Wale
Hai chataee ka bichona, kabhi khaak hi pay sona
Kabhi haath ka sar-hana, Madani Madine Wale
Teri saadgi pay lakho, Teri aajizi pay lakho
Ho salaam-e-ajizana, Madani Madine Wale
Mile naza me raahat, rahoon qabr me salamat
Tu azaab say bachana, Madani Madine Wale
Ai Shafi e Roz e mehshar! hai gunah ka bojh sar par
Mai phasaan mujhe bachana, Madani Madine Wale
Gup andheri qabr me jab, mujhe chor kar chale sab
Meri qabr jug magana, Madani Madine Wale
Mere Shah! waqt e rukhsat, mujhe meetha meetha sharbat
Teri deed ka pilana, Madani Madine Wale
Pas marg Sabz Gumbad, ki Huzoor thandi thandi
Mujhe chaoon me sulana, Madani Madine Wale
Mere Walidain mehshar mein, go bhool jae Sarwar
Mujhe Tum na bhool jana, Madani Madine Wale
Shaha tangi badi hai, yahaan dhoop bhi kadi hai
Shahe Hauz e Kauthar aana, Madani Madine Wale
Mujhe aafatun ne ghera, hai musibataun ka dayra
Ya Nabi madad ko aana, Madani Madine Wale
Koee is taraf bhi phera, ho ghamaun ka door andhera
Ai Sarapa Noor aana, Madani Madine Wale
Kooe pae bakht war gar, hai sharaf shahi se badhkar
Teri Na'al e Pak uthana, Madani Madine Wale
Mera seena ho Madina, mere dil ka aabgina
Bhi Madina hi banana, Madani Madine Wale
Ai Habeeb e Rabbe Bari, hai gunah ka bojh bhari
Tumhi hashr me churana, Madani Madine Wale
Meri adatein ho behtar, banu Sunnatun ka paikar
Mujhe muttaqi banana, Madani Madine Wale
Shaha aisa jazbah paoon, ke mai khoob seekh jaoon
Teri Sunnatein sikhana, Madani Madine Wale
Tere Naam par ho qurbaan, meri jaan jane jana
Ho naseeb sar katana, Madani Madine Wale
Teri Sunnatun par chalkar, meri rooh jab nikal kar
Chale Tum gale lagana, Madani Madine Wale
Hai muballigh AQA jitne, karo door unse fitne
Buri maut say bachana, Madani Madine Wale
Mere Ghouse ka waseela, rahe shaad sab qabeela
Inhe khuld me basana, Madani Madine Wale
Mere jis qadar hai ahbaab, inhe karde Shaha betaab
Milay ishq ka khazana, Madani Madine Wale
Meri anay wali naslein, Tere Ishq hi me machlein
Unhe nake tum banana, Madani Madine Wale
Milay Sunnataun ka jazbah, mere bhai choray Maula
Sabhi Dadiyaan mu'ndhaana, Madani Madine Wale
Mere jis qadar hai behne, Sabhi kaash burqa pehne
Ho karam Shahe zamana, Madani Madine Wale
Do jahaan kay khazanay, diye haath me Khuda ne
Tera kaam hai lutana, Madani Madine Wale
Teri gham me kaash Attar, rahe har ghadi giraftaar
Gham e maal say bachana, Madani Madine Wale
No comments:
Post a Comment