Jannat ki Oontni
. . . . . . . . . . . . . . . .
Hazrat Ali (radhiyallaaho anho) ek baar ghar tashreef laaye to Hazrat Fatema (radhiyallaaho anha) ne kaha,
"Maine ye soot kaata hai, aap isey bazar le jaiye aur bech kar kuch khane ka saman le aaiye taaki Hasan-o-Hussain (radhiyallaaho anhuma) ko roti khilaun"
Hazrat Ali wo soot bazar le gaye aur usey 6 rupye mein bech diya,
Wo un paison ka kuch khareedne ka soch hi rahe thy ki ek maangne wale ne Allah ke naam par manga,
Hazrat Ali ne wo 6 rupye mangne wale ko de diye,
fir ek admi aaya jis ke paas bahot farba (hatti-katti) oontni thi,
Wo bola,
Aye Ali ! Ye oontni khareedoge?
Hazrat Ali ne farmaya "paise paas mein nahi hain"
Admi ne kaha "udhar deta hu"
Ye keh kar, oontni ki rassi Hazrat Ali ke haath mein de di aur chala gaya.
itne mein ek dusra admi aaya, aur bola "Ali ! Oontni bechte ho?"
Hazrat Ali ne farmaya "le lo"
us admi ne kaha "300 cash deta hu, ye keh kar 300 rupye diye aur oontni le kar chala gaya,
fir aapne pehle wale admi ko talaash kiya, magar nahi mila.
Hazrat Ali ghar aaye to dekha ki Rasoolallaah (Sallallaahu Alaihi Wasallam) un ke yaha jalwa-afroz hain,
Huzur Alaihis-salaam ne Hazrat Ali ko dekha to muskura kar farmaya
"Ali ! Oontni ka Qissa tum sunate ho ya main sunau? "
Hazrat Ali ne arz kiya "Huzur Aap hi sunaiye"
Huzur Alaihis-salaam ne farmaya "pehla admi Jibrail tha, dusra israil tha, aur wo oontni jannat ki wo oontni thi jis par jannat mein Fatima (radhiyallaaho anha) sawaar hongi, khuda ko tumhara esaar jo tumne 6 rupye saael ko diye pasand aaya aur iske badle mein duniya mein bhi usne tumhe uska ajr oontni ke khareed-o-farokht ke zarye diya"
Jaame-ul-Mojezaat
Wednesday, June 29, 2016
Jannat ki outni
Labels:
Jannat ki outni
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Assalamualekum lekin us oontni ka naam kya h
ReplyDelete