Monday, June 20, 2016

Sadqa aur uske fayede

••»SADQA«••
*************
HADEES:-
*********
Huzoor SALLALLAHU-TA'AALA-ALAIHI-WASALLAM Ne Farmaya, Ki Sadqa Dena Apne Uper Lazim Kerlo, Kyonki Isme 6 Baatain Hain, 3 Duniya May Aur 3 Aakhirat May, Duniya May To Yeh Hain Ki,
(1)Rizk Badta Hain,
(2)Maal May Zyadati Hoti Hain,
(3)Bastiyan Aabaad Hoti Hain!

Aur Jo Aakhirat May Hain Wo Yeh Hain-
(1)Parda Poshi Hogi,
(2)Sir Per Saya Hoga, Aur
(3)Aag Se Bachao Hoga!

(Tohfatul Wayizeen)
(KAJH Pg-662)

********************************
TASHRIH:-
**********
Makhool-A-Shami Kehte Hain Ki Sadqa Karte Waqt Jahannam Rab Se Darkhwast Karta Hain Ki, Maula Mujhe Shukr Ke Sazde Ki Ijazat De Ki Ummat-A-Mohammadiya May Se Ek Shaks Mujhse Aazaad Hua Kyonki Mujhe Mohammad-A-Mustafa SALLALLAHU-TA'AALA-ALAIHI-WASALLAM Se Haya Aati Hain Ki Unke Ummati Ko Jalaoun Magar Teri Ita-at Zaruri Hain!

(Roohul Bayaan)
(KAJH Pg-664)
********************************

No comments:

Post a Comment