Monday, June 27, 2016

Hazrat Ali Ki Karmat

HAZRAT ALI KE ISHARE SE SAILAAB PICHHE HAT KE WAHIN GAYA :-

(Urs :- 21, Ramzanul Mubarak, Mazar :- Najaf Ashraf, Iraq)

>> Ek martaba Dariya e furaat me Sailaab aa gaya. Logo ne Aapki bargah me hazir ho kar Arz kiya ke hamare Khet Dube ja rahe he aur Makaanat gir rahe he. Aap Ghar me Aae, HUZUR NABI E KARIM sallallahu alayhi va sallam ka Amama Sharif sar par Bandha. Jubba Sharif Zebe tan farmaya, Chadar Sharif Doshe Mubarak par Daali aur Ghode par Sawar ho kar Dariya e Furat ke Kinare Tashrif laae.

>> Kasir Majma Aapke sath tha. Aapne Apne Asaa Mubarak se Ishara farmaya Sailaab ek Gaz Pichhe har gaya. Aapne Logo se Puchha Bas ! Logo ne Arz kiya Huzur abhi aur kam hona chahiye. Aapne dobara ishara farmaya Sailaab aur Pichhe Hata Logo ne Pukar kar kaha Huzur itna kaafi he. Aapne Apna Asaa Mubarak hata liya. Us Waqt se Furaat usi Had par qaim he.

@ SOORAJ PALAT AAYA :-

>> Shavahidun Nubuvvat Sharif me he ke ek Martaba AMIRUL MOMININ HAZRAT SAYYEDNA ALIYYE MURTAZA radiyallahu anhu Sarzamine Baabil se guzar rahe the aur Raasta tay karne me Jaldi thi, Namaz e Asr Qaza ho gai.

>> Aapne Dua farmai Sooraj lout kar Aaya, Aapne aur Aapke hamrahiyo ne Sukun se Namaz e Asr Adaa farmai.

(Tazkira Hazrat Shere Khuda Aliyye Murtaza)

🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸

No comments:

Post a Comment