NOORANI AURAT
******************
HIQAYAT:-
**********
Hazrat Junoon Rehmatullah Ta'aala Alaihi Farmate Hain Ki Main Ek Dafa Kaabe Sharif Ka Tawaaf Ker Raha Tha! Maine Tawaaf Khatm Kiya To Ek Noorani Aurat Ko Dekha Jo Kaabe Ka Gilaaf Pakadker Yeh Dua Maang Rahi Thi-
Aye Mere Habib! Tu Jaanta Hain Ki Mera Habib Kaun Hain? Maine Mohabbat Ko Chupaya Hain Yahan Tak Ki Iski Raazdari Se Mera Seena Tang Hogaya!
Fir Usne Rote Hue Yun Dua Maangni Shuru Ki! ILAHI! Tujhe Us Mohabbat Ka Vaasta Hain Jo Tujhe Mujhse Hain! Meri Magfirat Farma De!
Maine Us Noorani Aurat Se Kaha, Aye ALLAH Ki Bandi! Yun Kaho Ki Mujhe Us Mohabbat Ka Vaasta Hain Jo Mujhe Tumse Hain! Tum Jo Yun Keh Rahi Ho, Ki Jo Mohabbat Tumeh Mujhse Hain Yeh Tumeh Kaise Pata Chalgaya! To Wo Boli, Aye Junoon, Quraan Ki Yeh Aayat Nahi Padhi:
Tarjuma: To Ankarib ALLAH-TA'AALA Aisi Kaum Layega Jisse ALLAH-TA'AALA
Mohabbat Karta Hain Aur Wo ALLAH Se!
Dekhlo! Is Aayat May ALLAH-TA'AALA Ne Pehle Apni Mohabbat Ka Zikr Farmaya Hain Aur Yun Farmaya Hain Ki ALLAH Unse Mohabbat Farmayega Aur Wo ALLAH Se Mohabbat Karege! Goya Jo ALLAH Se Mohabbat Karte Hain Unse Pehle ALLAH Mohabbat Farmata Hain! Maine Kaha Tumne Mera Naam Kaise Jaan Liya? Wo Boli, Jo Khalik Ko Jaan Le Wo Makhluk Ko Kyon Na Jaan
Lega? Fir Usne Kaha Zara Is Taraf Dekhna, Maine Dusri Taraf Mooh Mod Liya To Wo Nazron Se Gayab Hogayi!
(Rauzur Rihayeen Pg-216)
*********************************
SABAK:-
ALLAH Ke Maqbool Bande ALLAH Ke Mehboob Hain! ALLAH Unse Mohabbat
Farmata Hain Aur ALLAH Ki Yaad Se Ek Noor Paida Hota Hain Jisse Gaafil Mehroom Rehte Hain!
Yeh Bhi Malum Hua Ki Jo ALLAH Ko Jaan Lete Hain Wo Makhluk Se Be-Khaber Nahi Rehte! Unko Sab Khabren Aati Rehti Hain!
*********************************
Like our page
https://www.facebook.com/aashiqerasool12
No comments:
Post a Comment