Tuesday, July 19, 2016

Nabi ke mazar se mangna

Malik Ad Dar Se Rivayat hai, Hazrat Umar Radi Allahu Anho k Daur e khilafat me ek martaba Kahat (Sookha) Pad gaya to Hazrat Bilal Bin Haaris Mazni Radi Allahu Anho Roza E Anwar Par Hazir Huwe Aur Arz Kiye : Ya Rasool Allah Sal Allahu Alaika Wassalam ! Aapki Ummat Halaak Ho Rahi Hai, Barish Nahi Hoti. Huzoor Sal Allahu Alaihi Wassalam Unhe Khwab Me Mile Aur Farmaya Aye Bilal ! Umar K Pass Jao. Usse Mera Salam Kaho Aur kah do ki barish hojaygi. Umar se ye bhi kehna ki kuch Narmi Ikteyar Kare (Yaha Huzoor Sal Allahu Alaihi Wassalam ne isliye Farmaya ki Hazrat Umar Farooque Radi Allaho Anho ki khidmat me Hazir huwe aur Huzoor Sal Allahu Alaihi Wassalam ka Salam Wa Paigam Pahucha Diya. Hazrat Umar Radi Allaho Ta’la Anho Yah Salam Aur Paigam E Mehboob Paakar Pahucha Diya. Hazrat Umar Radi Allaho Taa’la Anho Yah Salam Aur Paigam E Mehboob Paakar Roye Aur Kaha. “Aye Allah, Mai Apni Puri Koshish karta Hu, Jab Tak Ki Mai Thak Na Janam” Aur Fir Barish Khoob Huwi. [Al Musannaf ibn Abi Shaybah Vol : 11, Pg No : 118, Hadees : 32538, Published by Maqtabah Ar Rashid, Riyadh, Saudi Arabia]

No comments:

Post a Comment