Tuesday, July 5, 2016

Hazrat Hussain ki sakhwat

••»SAKHAWAT«••
******************
     Ek Roz Ek Shaks Hazrat Imaam Hussain Radi-Allahu-Ta'aala-Anhu Ki Khidmat May Haazir Hua! Arz Ki, Ki Main Kasrat-A-Aayaal Ke Bayis Be-Hadh Tangi Aur Aflaas May Hoon, Yahan Tak Ki Aaj Raat Khane Keliye Bhi Kuch Nahi! Hazrat Imaam Ali Makaam Ne Use Apne Paas Tehraya! Itne May 5 Tode Dinaaron Ke Hazrat Amir Muawiya Radi-Allahu-Ta'aala-Anhu Ne Hazrat Imaam Ali Makaam Ki Khidmat May Bheje! Aapne Wo 5cho Tode Us Fakir Ko Inayat Farma Diye! Uzr Bhi Farmaya, Ki Tujhe Thodi Bahoat Intezaar Karna Pada Uski Muafi Chahta Hoon!

(Kashaful Mahzoob Pg-9

*********************************
SABAK:-
*******
Khuda-Ta'aala Ne Apne Nek Bandon Ke Mutaallik Farmaya Hain Wo Apna Maal Dusron Ko De Dete Hain! Agarche Wo Khud Haajat-Mand Ho! Hazrat Imaam Hussain Radi-Allahu-Ta'aala-Anhu Is Aayat-A-Karima Ke Sahi Misdaaq The! ALLAH Ke Nek Bande Aisa Hi Karte Hain! Saayil Ka Sawaal Pura Karte Hain! Uski Ummid Se Bhi Zyada Use Dete Hain, Yeh Bhi Malum Hua Ki Maqboolaan-A-Khuda Ke Darwaze Se Haajat-Mand Kabhi Khaali Nahi Laut-te!
*********************************

No comments:

Post a Comment