Friday, July 29, 2016

Ayatul kursi

#Sureh_Baqra_Post__No_143
#Aayatul_Kursi
-------------------------------------------
Allah hai jiske siwa koi mabood nahi, wo aap zindo aur auro ka qayam rakhne wala,use na ong aaye na neend usi ka hai Jo kuch aasmano me hai aur Jo kuch zameen me,wo kaun hai Jo iske yaha sifarish kare be iske hukum se, janta hai Jo kuch unke aage hai aur Jo kuch unke peeche aur wo nahi pâté iske ilm me se magar jitna wo chahe, iski kursi me samaye hue hain aasman aur zameen aur use bhari nahi inki nighebani aur wahi hai buland badhai wala
(P-3 sureh Baqra aayat 255)
++++++++++++++++++++++
-aayatul kursi ki kahin faizlate hain
-isme shirk ki nafi hai ke Jo b hai Allah ka hai mushrikeen ya to aasmano me , ya phir pahado darkhtu, patharo ku pujte thy islye kaha gaya ke sab Allah ka hai aur wo samjhte they ke wo shafa'at karenge par kuffar ke lye shafa'at nahi - aur Allah ke hukum se ambiya aur saleheen nek Bande shafa'at karenge
-Allah talah apne ilm me se jise chahe jitna ilm de
-uski kursi me samaye hue hain aasman aur zameen ka Matlab ya to ilmo qudrat hai ya arsh ya wo Jo arsh ke neeche aur satho aasmano ke upar hai aur mumkin hai ke ye wahi hai Jo falkul burooj ke naam se mashoor hai
***************************
Hume Aayatul Kursi Kasrat se padhne ki taufeeq mile. Aameen

No comments:

Post a Comment