Friday, April 22, 2016

Rajjab ki fazeelat

🌹EK NEK KHATOON KI WASIYAT 🌹

⚜ Basra ki ek Nek Khatoon Ne ba waqte wafaat apne bete ko wasiyyat ki,
ki mujhe us kapde ka Kafan dena jise pahan kar mai Ra-jabul Murajjab me ibadat kiya karti thi.

Baa'd az wafaat bete ne kisi aur kapde me kafan de kar dafna diya.
Jab wo Qabristan se ghar aaya to ye dekh kar tharra utha ki jo Kafan usne pahnaya tha wo ghar me maujud tha ! Jab usne ghabra kar Maa ki wasiyat wale kapde talash kiye to wo apni jagah se gayib the.
Itne me ek gaibi awaaz goonj uthi : "Apna Kafan Wapas Le Lo (jiski usne Wasiyat ki thi) Humne Usko Usi Kapde Me Kafnaya Hai (kyuki) Jo RAJAB KE ROZE Rakhta Hai Hum Usko Qabr Me Ranjida Nahi Rahne Dete."

📚 (Nuzhat-ul-Majalis, Jild 1, Safa 208)

No comments:

Post a Comment