Thursday, August 4, 2016

Marney ke baad Isale sawab

HAZRATE MAALIK BIN RABEE'AA رضي الله عنه se marwi hai ke RASOOLALLAH ﷺ ke saath baithe huwe the ke banu salma ke ek aadmi ne aa kar arz ki YAA RASOOLALLAH ﷺ ! Koi aisi neki hai jo main apne waalidain ke liye unki wafaat ke baad karun? AAPNE farmaya haan unke liye dua karo , bakshish talab karo, unke kiye huwe waadon ko poora karo , unke doston ki izzat karo aur unke rishtedaaron se silaa rehmi karo.
Farmane NABAWI ﷺ hai , sabse badi neki yeh hai ke insaan apne baap ki wafaat ke baad uske doston se husne sulook kare. Mazeed irshaad hua ke bete ka maa se neki karna dohraa ajr rakhta hai. Ek aur irshaad hai ke maa ki dua jald qubool hoti hai , poocha gaya YAA RASOOLALLAH ﷺ ! Aisa kyun hai? AAPNE farmaya ke isliye ke maa , baap se zyada meherbaan hoti hai aur riham ki dua kabhi zaaya nahi hoti.
(MUKAASHAFATUL QULOOB
BAAB  89)

No comments:

Post a Comment