Huzoor ﷺ Jaisa Koi Nahi
Hazrate Abu Hurairah رضي الله عنه Se Marvi hai ki Rasoolullah ﷺ ne baghair kuch khaye piye Roze Se Roze Milakar Rakhne se mana farmaya to ek Sahab ne Arz ki Yaa Rasoolullah ﷺ Aap to Is tarah Roze Rakhte hai to Huzoor ﷺ ne irshad farmaya Tum Me Mere Jaisa Koun Hai ?? Main to Is haal me Guzarta hu ki Mera Rab Mujhe khilata hai , Pilata hai
Bukhari Jild 1 Safa 263 Muslim Jild 1 Safa 351
Mishkaat Safa 175
➡ Ye Hadees Kuch Alfaaz Ki Tabdeeli ke Sath Bukhari Aur Muslim Me Hazrate Ayesha Siddiqua , Hazrate Abdullah Ibne Umar , Hazrate Anas Bin Malik Aur Hazrate Abu Hurairah رضي الله عنهم In saare Hazraat se marvi hai
Hazrate Anas رضي الله عنه Ka bayan hai ki
Huzoor ﷺ ne Farmaya ki main tum me se kisi ki tarah nahi hu
Hazrate Ayesha رضي الله عنها Se marvi hadees me hai
Huzoor ﷺ ne Irshad Farmaya meri shaan tumhari jaisi nahi hai
Hazrate Abdullah Ibne Umar رضي الله عنه ki riwayat me hai
Huzoor ﷺ ne farmaya Main Tumhare Jaisa nahi hu
Aur Mere Peero Murshid Huzoor Tajush Shariah ne Farmaya
Yaa Rasoolullah ﷺ
Aap Jaisa Koi Ho Sakta Nahi
Apni Har Khoobi Me Tanha Aap hai
____________________________
Huzoor ﷺ Jaisa Koi Nahi
✔ Hadees No.2
Hazrate Ali رضي الله عنه se marvi hai ki maine Rasoolullah ﷺ ke jaisa na pahle dekha na Aap ke Baad
Tirmizi jild 2 safa 205
Mishkaat safa 517
✔ Hadees No. 3
Hazrate Jaabir رضي الله عنه se marvi hai ki Masjide Nabawi ki chhat jab Khuzoor ki shaakho se daali hui thi to Khutba Dete waqt Huzoor ﷺ khuzoor ke Ek Sutoon se tek lagaya karte the Jab Aap ﷺ ke liye Mimbar banaya gaya to Aap ﷺ us Par Jalwa Afroz hue to Maine suna ke is khuzoor ke sutoon se ( Huzoor ﷺ ki judaai me) Oontni ke bilbilane ki Jaisi Aawaz aa rahi hai Yahan Tak ke Huzoor ﷺ ne uske kareeb Jakar us par apna Daste mubarak fera to wo khamosh ho gaya.
Bukhari Jild 1 Safa 504
_ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _
✔Hadees No. 4
Hazrate Ayesha رضي الله عنها
Farmati hai Maine Arz Kiya Yaa Rasoolullah ﷺ Aap witr ki Namaz Bagair padhe so jate hai to Huzoor ﷺ ne Irshad Farmaya Aye Ayesha Meri Aankh soti hai Mera Dil Nahi Sota.
Bukhari Jild 1 Safa 504
Mustafa E Zaate Yakta Aap Hai
Yak ne Jisko Yak Banaya Aap Hai
✔ Hadees No. 5
Hazrate Ka'ab Jung me Shirkat se Apne rah jaane ka kissa bayaan karte huye farmate hai ki Jab Maine Huzoor ﷺ ko Salaam kiya aur Aap Ka chehra khushi se damak Raha tha Aur Rasoolullah ﷺ khush hote to Aap ﷺ ka chehra damakne lagta jaise ke wo chaand ka tukda hai aur isse Hum Aap ﷺ ki khushi ko jaaan jate.
Bukhari Jild 1 safa 502
✔ Hadees No. 6
Hazrate Bara Ibne Aajib se Pucha gaya kya Rasoolullah ﷺ ka chehra Talwaar ki maanind chamakta tha unhone Farmaya Nahi Balqi chand ki tarah
Bukhari Jild 1 Safa 502
➡ Aur Sahaba E Kiraam ka ye chaand se tashbeeh dena bhi sirf isliye tha ke Insaano ki nazar me chaand sabse zyada chamakdar hai warna Rasoolullah ﷺ to chaand se kahi zyada khoobsurat aur Haseen hai is baare me bhi Hadees me Hai. Aur ye bhi kaha ja sakta chaand ki Khoobsurati Huzoor ﷺ ka hi Sadqa Hai .
Qadmo Me Jabee (n) ko Rahne Do Chehre Ka Tasawwur Mushkil Hai
Jab Chaand Se Roshan Edi Hai to Ruqsaar Ka Aalam Kya Hoga
____________________________
No comments:
Post a Comment