••NAMAK-HARAAM GULAM••
***********************************
HIQAYAT:-
**********
Ek Martaba Zibrayil Alaihi Salam Firoan Ke Paas Ek Sawal Laye! Jiska Mazmoon Yeh Tha Ki Baadshah Ka Kya Hukm Hain Aise Gulam Ke Haq May Jisne Ek Shaks Ke Maal Wa Nemat May Parwarish Payi Fir Uski Na-Shukri Ki Aur Uske Haq May Munkir Hogaya Aur Apne Aap Maula Hone Ka Daawedaar Bangaya! Isper Firaon Ne Jawab Likha Ki Jo Namak-Haraam Gulam Apne Aaka Ki Nematon Ka Inkaar Kare Aur Uske Muqabil Aaye Uski Yeh Saza Hain Ki Usko Dariya May Doobo Diya Jaye! Chunanche, Firoan Jab Khud Dariya May Doobne Laga To Hazrat Zibrayil Alaihi Salam Ne Uska Wahi Fathwa Uske Saamne Pesh Kerdiya Aur Usko Usne Pehchaan Liya!
(Khazayinul Irfaan, Pg-311)
*********************************
SABAK
*******
Insaan Agar Apne Gulam Ki Nafarmani Per Gusse May Aata Hain Aur Use Saza Deta Hain To Fir Wo Khud Bhi Agar Apne Maalik-A-Haqiqi Ka Nafarmaan Hoga To Saza Bhugatne Ko Taiyyar Rahe!
*********************************
No comments:
Post a Comment